Shayari On Women's Strength In Hindi - Respect - girl ....
Kuch
Din Pehle Ki Hi Baat Hai Hyderabad Shehar Mein, Ek Masoom Si Lakdi Ke Saath
Hatyachaar Aur Har Woh Ghinoni Harkat Ki Gayi Jis Par Insaaniyat Sharm-Shaar Ho..
Chaahe To Iss Par Kuch Naa Bol Kar Main Aage Chal Sakta Tha Par.. Mujh Se Raha
Naa Gaya Kyunki Agar Aaj Hum Sab Naa Bolrnge, Hum Naa Samjhenge To Aise Vaakya
Aur Janam Lete Rahenge.. Hum Sab Ko Sabse Pehle Ek Aurat Ki Astitva, Uskee
Pehchaan, Uskee Mahaanta Ko Samjhna Hoga.. Aur Mera Dua Hai Rabb Se Ke Insaan
Ko Itna Samaj De Ke Insaan Ban Kar Hi Woh Jiye.....
Ab Waqt
Aa Gaya Hai Ke Mil Kar Yeh Pukaara Jaaaye....
'Aurat'
To Sar Ka Taaj Hai, Isse Yuhi Sawaara Jaaaye....
Aakhir
Kya Ho Raha Hai Aaj Humari Soch-Samaj Ko....
Ab Waqt
Aa Gaya Hai, Khud Ko Aaene Men Utaara Jaaye....
Ek Maa,
Ek Beti, Ek Patni, Aur Naa Jaane Kitne Roop Hai....
Ek
Aurat Ki Tasveer Ko Pehle Dil Se Nikhaara Jaaye....
Kabhi
Aam Aadmi, Kabhi Neta, Kabhi Koi Dharam Guru....
Jo
Aurat Ko Izzat Dena Naa Jaane, Unhe Dhutkaara Jaaye....
Aaj Hum
Ekisvi Sadi Men Hai Par Phir Bhi Surakshit Nahi....
Kya Aaj
Bhi Mujrim Aankhon Ke Saamne Se Awaara Jaaye....
Zulm
Karna Gar Gunaah Hai To Zulm Sehna Bhi Guunah Hai....
Ghinoni
Harkat Men Kyun Maara, Kisi Ke Aankh Ka Taara Jaaye....
Yaro
Gar Aurat Ko Izzat Naa De Sako To Tum Insaan Nahi....
Soch Ko
Badlo, Sabse Pehle Yahana Khud Ko Sudhaara Jaaye......
May You Like Also These Poems:
COMMENTS