beti bachao shayri in hindi- save the girl child msg in hindi, heart touching shayari on beti in hindi, best save girl child poems and shayari sms in hindi, Poem on Daughter in Hindi | Beti Bachao Kavita & Slogan ... must read and share on fb or whatsupp..
Aaj Meri Mummy Bata Rahi Thi Ki Jab Meri Di Ka Janam Huwa Tha To Meri DADI Ne 2 Din Khana Nahi Khaya Tha, Isliye Qki Unke Ghar BETI janmi THI.. Yeh Kavita har uss Maa-baap, Har Us Shaks Ke Liye Hai Jo Kabhi-Kabhi Apne Bete Aur Beti mein Fark Kar jaate hai..
meri Sache Dil Se Yeh Request Hai Aur yeh benti hai har ek Se ke Beta Aur Beti mein Kabhi koi Insaan Fark Naa Kare... Is kavita Ko Ek Beti(Ladki) Ki nazar se Padhen.. Yeh uske Dil Ki Baatein hai..
Iss kavita Ko zaroor Padhiyega......
Mujhe Apne Godd mein Khilaane Wale....
Mera Haath thaam kar mere saath Chalne Wale...
Meri Ek muskaan par Khud Ko Lutaane wale......
Mere Aansuo par khud bhi Ro jaane Wale
Aur Koi nahi Mere Maa-Baap Hi Hai..
Main Jo Bhi Hoon Sab Aap Dono Ke sadke
mere Liye Sab Kuch Aap Hi Hai........
Par..
Dil mein Mere Yeh Baat Aati hai.....
Beta-Beti mein Duniya Fark kyon kar jaati hai....
Main Sochti hoon Agar Aisa Ho Ke Beta Ghar Aangan Chodd Kar jaaye....
Aur Ek Beti Hi ghar Ko Chalye....
To kya Ek Bete Ko paraya Dhan Kaha Jaata...
Aur Kya Ek Beti Ko Bete Jaisa Apnaya jaata.....
Iss Baat par Mujhe Duniyadaari par Ek Sharm Si Aayi....
Ek Beti Hi kyon Hai sab Ke Liye paraai......
Mere Haathon par Jab Kisi Ke Naam Ki Mehndi Lagti Hai....
Meri Zimmedariyan, Meri Duniya Pal-pal Mein Badalti hai...
Ek Ladki Hi Hai Jo Paraye Ghar Ko Apna samajkar usse Basaati Hai....
Kisi Ki Beti kisi Ke Ghar Ki Bahoo Bankar Izzat kamati Hai....
Par Eh Maa Tu Naa Kehna Mujhe Kabhi Parai....
Kitna Bhi Door Rahoon Par Keh Laaungi sirf Teri Hi Parchai....
Main Door Rehkar Bhi Aap Sab Se Door Nahi....
Meri har Soch, har Pal mein Aap Sab Shaamil Ho...
Kya Aisa Koi Shaks Hai jo Waqt Ke Haathon Majboor nahi....
Bas.... Meri Itni Si ek Baat Yaad Rakhna....
Eh Mere Janam-Daata mujhe Humesha Apne Saath Rakhna.......
YOU MAY ALSO LIKE THESE BETI BACHWO SHAYARI:
Comments