Aurat ki izat kar, o bande ye jnani hai sansar ki...
tol kar paiso me isko na bana tu chij byapar ki...
aurto se hi wajood bana hai hamara is sansar me...
basta hai khuda "maa, bahan, biwi aur beti" k pyaar me...
soch kar dekh bin aurat jahan lagta kitna viraan hai...
aurat k balidano se hi to is kaynaat ki pahchaan hai...
agar bewafayi ishq me mili hai to sara kasoor aurat ka hi thodi hota hai...
kisi ko dil diya ho aur usko chhodna pade to socha hai aurat ka dil kitna rota hai...
hamesha hi badnaami aurat khud pe leti hai...
maa baap ki izat k liye hi to apne pyar ki kurbani deti hai....
najriya chaiye kisi ki majboori ko smajhne k liye...
koi nhi chahta k apne pyar se wo juda ho k jiye...
agar baat dahej ki kare to bhi marti hai aurat...
khud aurat ho k bhi aurat ko janam dene se darti hai aurat...
sab log is devi ka aadar kariye...
ise maar kar khuda ko kya muh dikhayenge is baat se dariye....
khud chot kha kar dil pe bhi ye paigam likh raha hun...
aurat nhi buri humari soch galat hai mai ye paigam sare-aam likh raha hai.......
_____________________________________________________________
Comments