MERI
QAYNAAT........
Sad
Note In Love ~
Mere
Zehan Ki Wusat Me Usska Tasavvur Jaise, Meri Pahunch Se Door Kaheen Sookhi Hui,
Sehmi Hui, Tanha Zamee Per Kuch Qatre Shabnam Ke, Or Usska Ehsaas Jaise Meri
Shayri Me Rang Phoolon Ke, Usski Yaaden Jaise Mere Dil-O-Dimaag Ke Beehad Or
Susaana Jangle Me Hawaaon Ka Sangeet, Usske Khwaab Jaise Kissi Marte Hue Shaks
Ko Aas Zindgi Ki, Isske Saath Usska Kabhi Na Khatm Ho Sakne Waala Intzaar ..
Kuch Na-Mukammal Duaaen Use Paane Ki, Jo Her Rab Se Ki Gayi Thee, Inper Bhi Ek Vaahiyaat
Umeed Usske Aane Ki Jo Maasoom Dil-E-Nadaan Khud Me Zabt Kiye Baitha Hai, Ye
Sab Apni Shaksiyat Ke Saath Tanhayi Ke Andheron Ki Chadar Me Lapete Maazi Ke
Samander Ki Gehrayi Me Bhooli Bisri Khwahison Ke Patther Ke Niche Dabaane Ke
Baad Ek Nayaa Shaks Bann Ker Zamaane Ki Mehfilon Me Laut Aaya, Main Andheron Ka
Musafir Roshini Me Laut Aaya Ek Naya Chehra Liye Ek Nayi Pehchaan Liye, Phir
Socha Ki Ek Khat Likhker Ussko Alvida Keh Doon Or Apne Marrne Ki Ittilaah Keh
Doon, Likhne Ke Liye Na Samander Si Syaahi Mili Or Na He Baadalon Ko Kaagaz
Banaa Sakaa, Kuch Sitaare Chaahtaa Thaa Lafzon Ki Sajaawat Ke Liye Wo Bhi Tod
Ker Na La Sakaa To Phir
Dher
Saari Khaamoshi Likh Ker Khat Me Bhej Diya Maine...
Aankhen
Moond Ker Kuch Der Khamoshi Se Baitha Raha Khat Likhne Ke Baad Or Kuch Sochta
Raha…. Ek Tadap Or Bechaini Kuch Kho Dene Ki, Jaise Naye Naye Zakhmon Per Namak
Ki Tees Mach Jaaye, Tilmila Ker Uttha, Aankhen Kholin Aur Picche Mudd Ker Dekha
To Sab Ke Sab Mere Saamne Khade Thai, Wo Hi Shabnami Tasavvur Usska, Phoolon Sa
Rangeen Ehsaas Wo Surmayi Yaaden, Or Aas Se Bhare Dilchasp Khwaab, Saamne Thaa
Wo Be-Aqibat Intzaar Bhi, Wo Na-Mukammal Duaaen Wo Vaahiyaat Umeeden
Dil-E-Nadaan Ki Sab Andhere Ki Chadar Ke Saath Mere Maazi Ke Samander Se Nikal
Aayi Thee, Unn Sabko Gale Lagaa Ker Kuch Der Rota Raha Or Wo Shaks Jissko Maine
Abhi Abhi Maara Thaa Phir Zinda Ho Gaya… Judaa Ho Gayi Ye Zamaane Ki Mehfilen,
Or Roshini Ka Safar, Hum Andhere Ke Musafir Humko Tanhaiyaan Mubaarak...
Ye Sab
To Mere Humsafar Hain, Mera Samaan Jeene Ka, Us Se Bichad Ker To Phir Bhi Zinda
Houn, Inn Sabse Bichad Gaya To Kya Jee Paaunga ?
Comments