Jaise Ki Aap Sab jaante hai, Elections Ka Samay hai!! Shehar Ki Har Gali, Har Mohalle Mein, Mantriyon aur Unki Party Ke Symbols, Posters Lage Hai.. Har Loud Speaker Mein Unke Guun-Gaan Gaaye Jaa Rahe Hai.. Har Ek Mantri Road Show Mein Nikla Hai, Issi Soch Par Ek Kavita Likh Raha Hoon.. Umeed Karta Hoon, Aap Sab Ko Pasand Aaye....
Galli-Galli Is Shehar Mein Ek Hi Baat Par Charcha Tha...
Vote Kisse Diya Jaaye, Iss Baat Par Aapas Mein Hi Jhagda Tha....
Koi Mantri Kehta Hai, Har Ek Ke Ghar Mein Nayi T.V hogi,
Koi Kehta Hai, Daal-Shabjiyo Ke Daam Ab Girenge,
Ghar Mein Khush, Ab Har Ek Ki Biwi Hogi.....
Maine Kahan, April Ke Mahine Mein,
Janta Ko Bewakoof Banane Ka Bahana Acha Tha...
Galli-Galli Iss Shehar Mein, Ek Hi Baat Par Charcha Tha....
Yeh Sab Dekh Hi Raha Tha Ke Mere Dwaar Par Bhi Ek Mantriji Aaye,
Kuch Der Tak Chup Muskurate Rahe Aur Phir Farmaaye....
"Aapne To Dekha, Pichle Paanch Saal,
Desh Ka Haal Kitna Bura Tha,
Har Ek Ke Sar Par Duniya Bhar Ka Karza Chada Tha.....
Ab Hum Aa gaye Hai, Hum Sab Sambhaalenge,
Bas Ek Waada Kijiye, Aap Vote Hamare Naam Ka Hi Daalenge...."
Yeh Suunkar, Humne Kahan, "Aap Itna Kasht Kyon Lete Ho,
Vote Ke Naam Par Itne Bechain Se Rehte Ho...!!!
Ab Hum Hi Apna Vaatavaran Sudhaarenge,
Jis Ne Iss Watan Ke Sudhaar Ke Liye Kuch To Kiya hai,
Usse Hi Apna Vote Daalenge....."
Yeh Suunkar Woh Mantriji Laal-Pile Se Ho Gaye,
Palak Jhapki Bhi Nahi Ke Bheed Mein Woh Kho Gaye.....
Ab Sochta Hoon, Yeh Logon Ke Liye, Kya Humara Vote Itna Sasta Tha,
Galli-Galli, Iss Shehar Mein Eh Hi Baat Par Charcha Tha....
Yeh Baat Sach Hai, Raajniti Mein Yeh Sab Ek Dusre Ke Rishtedaar Hai,
Raajniti Inke Liye Kuch Bhi Nahi, Bas Ek Vyaapaar Hai......
Par Ab Aur Nahi, Hume Band Karna, Inka Yeh Karobaar Hai,
Vote Sirf Unhe Dijiye, Jin par Aapko Aitbaar Hai...
"KHWAISH" Woh Ruth Phir Aayenge,
Jab Ghar-Ghar Khushiyon Se Mehakta Tha...
Galli-Galli, Iss Shehar Mein Ek Hi Baat Par Charcha Tha......
______________________________________________________

Dhanupur Vard no. 1
ReplyDelete