Aisi hi sard sham thi wo bhi jab wo mehndi rachaye hathon mai.. apani aahat ke khauf se larazan surkh aanchal mai muh chipaye hue.. apne khat mujh se lene aayi thi......
us ke sahami hui nigahon me kitni khamosh iltijayen thin.. us ke chehare ke zard rangat mai kitni majaburiyon ke saye the....
mere hathon se khat pakadate hi jane kya soch kar achanak wo mera shana pakad kar roi thi.....
us ke yaqut rang honton ke kapkapate hue kinaron par saikadon ankahe fasane the...
sard shamon mai der tak aksar jab ye manzar dikhai deta hai.. ek lamha mehndi rache hathon se mujh ko apani taraf bulata hai.......
"hum nasheen ruth kar na ja mujh se mai mar jaunga.. aisi hi sard sham thi wo bhi...........
__________________________________________________
Comments