Mahobbat
Ki Dunia Me Kissa Aesa Bhi Aye Yaar Ho Gaya...
Bin
Dekhe Hi Ek Ladki Aur Ek Ladke Ko Pyaar Ho Gaya...
Ajnabi
Dil The, Ajnabi Unki Aadte Thi Fir Bhi Aye Yaaro...
Baato
Hi Baato Me Ek Din Mahobbat Ka Izhaar Ho Gaya...
Badhte
Badhte Mahobbat Unki Kuch Is Had Tak Aayi...
Ki
Dekhne Ko Ek Duje Ko Unka Dil Bekarar Ho Gaya...
Aa Hi
Gaya Wo Din Yaaro Jis Din Wo Ab Milnewale The...
Par
Afsos Usi Din Uski Mehbuba Ka Intekaal Ho Gaya...
Suni
Jab Ye Baat Us Ladke Ne To Wahi Ke Wahi Gir Pada...
Aur
Hote Bhi Jaan Usme Yaaro Wo Bejaan Ho Gaya...
Kehne
Laga Waah Kya Kehna Tera Bhi Aye Taqdeer Likhnewale...
Jo Tha
Zindagi Ka Sabse Khaas Din Wahi Gam Ka Tyohaar Ho Gaya...
Jakar
Khuda Ki Bargaah Me Ro- Rokar Usne Rabse Ye Kaha...
Kesa
Khuda He Tu Meri Mahobbat Par Itna Bhi Aitbaar Na Kar Saka...
Aesi
Bhi Kya Nafrat Tuje Mujse Jo Me Apne Yaar Ka Didar Na Kar Saka...
Beintehaa
Chaha Tha Mene Us Anjaan Ko Aye Mere Parwardigaar...
Tu Meri
Khusi Ki Khaatir Uski Zindagi Me Ek Do Pal Aur Ikhtiyaar Na Kar Saka...
Yahi
Ro- Rokar Tere Darpe Aaj Me Qurbaan Ho Jaunga Dekhna...
Tu To
Hokar Bhi Khuda Meri Mahobbat Ka Jara Sa Khyal Na Kar Saka....
Sunkar
Ye Daasta, Kalam Bhi Us Kaatib -E- Taqdeer Ki Kaanp Uthi...
Use Bhi
Hua Afsos Ki Wo Us Ladki Ko Us Ladke Ke Naam Na Kar Saka...
Aur Fir
Likha Gaya Uski Mehbuba Ki Zindagi Me Zindagi Ka Kalaam...
Kyuki
Yaaro Khuda Bhi Us Din Uski Mahobbat Se Inkaar Na Kar Saka.......
So sad yar...
ReplyDeleteSo sad and awesome
ReplyDelete