Tanha Hai Mera Kamra Mere Hii Ghar Mein...
Abb Ataa Jaata Nahi Koi Mere Kamre Mein....
Mai Jabb Ghar Pe Rehta Tha, Uss Kamre Mein Soota Tha...
Wahan Mere Kuch Doston Ka Jamghat Bhii Hota Tha...
Bahut Shor Gul Hota Tha Mere Ghar Ke Uss Kone Mein...
Bediyaan Bahut Daaltey They Hum Ghar Waalon Ke Sone Mein...
Abb Wo Kamra Shayad Ek Viraan Hoga...
Koi Nahi Hoga Wahan Wo Ek Dam Sunn Saan Hoga...
Dekha Karta Tha Mai Mere Kamre Kii Khidki Se ,,
Kitna Badnaseeb Hai Wo Chand, Jo Taaron Ke Bich Tanha Hai...
Mera Wo Kamra To Mujhse Baatein Bhi Karta Tha...
Jabb Bhi Diwaarein Kehti Us Sey, Ki Dekh Wo Tanha Hai...
Wo Meri Humjoli, Meri Maze Aaur Kursi Pe Lagi Wo Narm Sii Kholi...
Mai Khidki Ke Aor Dekh Kar, Baitha Uss Kursii Par..
Uski Narm Sii Kholi Pe Seh-Lataa Tha Aapna Hath...
Aaur Jabb Bhi Dil Karta Tha Kuch Likhne Ko,
Mai Likhta Bhi Tha Sath-Sath...
Fhir Samne Se Kabhie Wo Ek Ladki, Mujhe Dekhti Thi...
Hansti Thi, Kabhie Kabhie Wo Mujhse Baatein Bhi Karti Thi...
Isharon Se Baatein Kartey They Hum Logg...
Kiuki Shayad Wo Logon Se Bahut Darti Thi...
Fhir Kai Martaba Kuch Aaisa Hota Tha..
Wo Bhari Saa Akkhad Shisham Ka Darwaza..
Koi Khat-Khata.Ta Mere Kamre Ka...
Mai Ukhad Jaata Tha Aaise, Jaise Manzar Loot Gaya Ho Sapne Ka..
Kinare Par Khadaa Wo Guldasta Fhir Mujhpe Hansta Tha...
Kamre Kee Baaki Saamano Ke Sath Meri Khilliii Karta Tha...
Hanstey They Sabb Mere Sath Sath...
Rotey Bhi They Mere Sath Jab Kabhie Mai Rota Tha...
Fhir Ek Dinn Aaisa Ayaa, Mai Achanak Unn Sabko Alvida Kahe Binn..
Mai Aapna Wo Kamra Chod Ke Door Kahin Chalaa Ayaa..
Abb Mai Jiss Kamre Mein Basta Honn Mere Hii Doston Ke Sath...
Ye Kamra Bahut Acha Hai, Yahan Parr Bhi Bahut Hawaa Aati Hai..
Maine Khoja Iss Hostel Kii Harr Aour, Harr Kamra Ek Acha Ek Tha..
Parr Itne Saare Kamron Mein Mera Ek Wo Kamra Hii Kam Tha...
Samne Se Koi Ladki Bhi Dikhti Hai To Wo Hansti Hui Hii Jaati
Hai.....
Parr Abb Mai Jabb Bhi Tanha Hota Hoon, Jaise Ke Pahle Hota Tha...
Mujhe Yaad Aataa Hai Wo Kamra Mera......
Wo Kamra Baatein Karta ….
Comments