Mai kabhi kahu ke mai ja raha hu tumhe chhod kar...
mai kabhi kahu ke mujhe bada sukun milta hai tera dil tod kar...
mai minnat karta hu ke meri ye baat kabhi manana nhi...
mai tumhe chhod kar bhi ja sakta hu kabhi aisa janana nhi...
gumo ka staya hu gussa bahut jaldi aata hai...
magar kahi tum door na ho jao ye soch dil dar bhi jata hai...
tumpe hak samjhta hu isliye rooth jata hu...
magar jab tum mujhse roothti ho to sach jano mai toot jata hu...
tumhe paya hai maine na jane kitni taklifo ke baad...
kabhi bhoole se bhi tum chhod na dena mera sath...
mai na samjh hu magar tumhe bepanah pyar karta hu...
tum kya jano mai tumhare ek ek aansu pe marta hu...
tumhe pyar karta hu.......
____________________________________________________________
Comments