Mein
Aksar Maa Say Kehta
Maa
Dua
Karna
K
Kabhi Tera Yeh Beta
Khaaki
Wardi Pehnay
Seeney
Pe Tamghay Sajaye
Mujaahidon
Ka Sa Noor Liye
Tere
Samnay Fakhr Say Khara Ho
Aur
Meri Maa
Meri
Maa Yeh Sun Kar
Hans
Diya Krti The.....
Kabhi
Jo Tumhein Meri Maa Milay To Us Say Kehna
Woh
Ab Bhi Hansti Raha Karay..
K
Shaheedon Ki Maein Roya Nahi Kartien
Mein
Aksar Maa Se Kehta Tha
Us
Din Ka Intzaar Karna
Jab
Dharti Tere Betay Ko Pukarey Ge
Aur
In Azeem Parbaton Key Darmiyan Behtey
Ashu
K Darya Ka Neela Paani
Or
Swat Ki Galiyon Mein Baarish K Katron Ki Tarhan Girti
Rooshni
Ki Kirnain Pukaarein Ge
Aur
Phir Us Din K Baad
Mera
Intzaar Na Karna
Key
Khaaki Wardi Mein Janey Walay Aksar
Sabz
Halaali Mein Loot Kr Aatey Hain.....
Magar
Meri Maa
Aaj
Bhi Mera Intzaar Krti Hay
Ghar
Ki Chookhat Pe Bethi Lamhay Ginti Rehti Hay
Meray
Liye Khana Dhakk Rakhti Hai
Kabhi
Jo Tumhein Meri Maa Milay
To
Us Say Kehna
Woh
Ghar Ki Chookhat Pay Beth Kar
Mera
Intzaar Na Kia Karay
Khaaki
Wardi Mein Janay Walay
Loot
Kr Kab Aatey Hain.....
Mein
Aksar Maa Say Kehta Tha
Yaad
Rakhna
Is
Dharti K Seenay Pay
Meri
Behnon K Aanso Giray Thay
Mujhy
Woh Aanso Unhein Lootaney Hain
Meray
Saathiyon K Sar Kaatey Gaye Thay
Aur
Un Ka Lahu Pak Miti Ko Surkh Kr Gaya Tha
Mujhay
Miti Mein Milanay Waly
Us
Lahu Ka Qarz Utaarna Hay
Aur
Meri Maa Yeh Sun Kar
Num
Aankhon Say
Muskura
Diya Krti The.....
Kabhi
Jo Tumhein Meri Maa Milay
To
Us Say Kehna
Us
K Betay Nay Lahu Ka Qarz Chuka Dia Tha
Aur
Dharti
Ki Betiyon K Aanso Chun Liye Thay
Mein
Aksar Maa Say Kehta Tha
Mera
Wada Mat Bhulana
K
Jang Key Is Maidaan Mein
Insaaniyat
K Dushman Darindon Kay Muqabil
Yeh
Bahadur Beta Peeth Nahi Dikhaye Ga
Aur
Saari Gooliyan
Seenay
Pay Khaye Ga......
Aur
Meri Maa Yeh Sun Kar
Tarap
Jaya Karti The
Kabhi
Jo Tumhein Meri Maa Milay
To
Us Say Kehna
Us
Ka Beta Buzdil Nahi Tha
Us
Nay Peeth Nahi Dikhai The
Aur
Saari Gooliyan Seenay Pay Khaein The....
Mein
Aksar Maa Say Kehta Tha
Tum
Foojiyon Say Mohabat Kyun Krti Ho?
Hum
Foojiyon Say Mohabat Na Kia Kro Maa
Hamarey
Janazay Hamesha Jawan Uthtay Hain
Aur
Meri Maa
Meri
Maa Yeh Sun Kar
Roo
Diya Karti Thi
Kabhi
Jo Tumhein Meri Maa Milay
To
Us Say Kehna
Woh
Foojiyon Say Mohabbat Na Kia Karay
Aur
Darwazay
Ki Chookhat Per Beth Kar
Mera
Intzaar Na Kia Karay
Suno
Tum
Meri Maa Say Kehna
Woh
Rooya Na Karay..............!!
Comments