“Mai Aksar Badal Leta Hu Chahre Ke Lahze
Apne...
Ek Hi Lahze Se Log Mere Dil Ka Hal Jaan Lete Hai...
Mai Muskura Deta Hu U Hi Dil Rakhne Ke Liye...
Log Meri Muskan Ko Mera Khush Hona Maan Lete Hai….”
Ek Hi Lahze Se Log Mere Dil Ka Hal Jaan Lete Hai...
Mai Muskura Deta Hu U Hi Dil Rakhne Ke Liye...
Log Meri Muskan Ko Mera Khush Hona Maan Lete Hai….”
Najaanay Kyun Achaanak Say…..
Utha Hay Cheekh Mera Mann…..
Mera Bachpan, Mera Bachpan……
Main Jub Chhota Sa Bacha Tha…..
Mera Mann Kitna Sacha Tha
Meray Bachpan Say Vabista….
Hazaaron Khaab Hen Lekin…
Meray Maazi Ki Yaaden Bhe….
Niraa Azaab Hen Lekin
Bus Itna Yaad Aata Hay….
Khushi Ki Baat Ho Koi
Main Kitna Khul Kay Hansta Tha
Ye Aankhen Bheeg Jaati Theen
Agar Dukh Mujhko Hota Tha…..
Magar Ab Aisa Aalam Hay..
Na Hansta Hoon Na Rota Hoon
Dikhaavaa Ban Gaya Sub Kuch….
K Ab Rona Nahi Aataa
Meray Aansoo Nahi Aatay…
Hansi Mujhko Nahi Aati
Khushi Mujhko Nahi Hoti…
Bharam Logon Ka Rakhna Ho
Tu Karta Hoon Adaa-Kaari…
Meray Chehray Pay Ye Chehra,
Najaanay Kis Ka Hay Logo,
Chhupa Hay Jo Pas-E-Chehra,
Buhat Bay-His Sa Hay Logo……
Mera Dil Tu Ye Karta Hay,
Buhat Ro’oon, Buhat Ro’oon,
Main Apnay Baap Say Kheloon
Aur Maa Ki God Men So’oon………
Comments