Aaj
Mere Jaan Ki Vidayi Hogi...
Khubsurat
C Mehndi Apne Hatho Pe Usne Lagayi Hogi...
Hamesha
Se Raha Tha Jis Pe Haq Mera...
Aaj Wo
Mujhse Parayi Hogi...
Khuda
Jane Ke Andar Se Khush Hogi Ya Nhi...
Par
Mujhe Yaad Kar Ke Thodi Mayusi To Uske Chehre Pe Aayi Hogi...
Sang Me
Apne Sakhiyo Ke Use Hasna Pad Rha Hoga...
Magar
Akele Me Roni Surat Usne Bnayi Hogi...
Aaj
Khud Ko Bada Kosti Hogi Wo...
Jab Use
Apna Kaha Har Wada Aur Ek Ek Baat Use Yaad Aayi Hogi...
Pata
Nhi Dil Isi Kashmkash Me Hai...
K Meri
Tasveer Jo Use Jaan Se Pyari Thi Usne Jlayi Hogi Ya Chhupayi Hogi....?
Jitna
Marzi Wo Khush Ho Ho Kar Sab Se Mile Chahe...
Magar
Ek Baar To Meri Yaad Use Zaroor Aayi Hogi...
Tabhi
Achanak Uske Gali Se Guzrega Janaza Mera...
Aur
Mere Apno Ki Chikhe Use Bhi Sunayi Hongi...
Tabhi
Uske Liye Waqat Thahar Sa Gya Hoga...
"Tum
Meri Na Hui To Mar Jaunga Mai" Meri Ye Baat Yaad Kar Ke Uski Aankhe Bhar
Aayi Hongi...
Tabhi
Mera Ye Paigam Jo Mai Likh Raha Hu Mila Hoga Kisi Bache Ke Hatho...
Aur Ise
Padhkar To To Sharam Ke Mare Usne Apne Saye Se Bhi Nazre Jhukayi Hongi...
Aaj
Meri Jaan Ki Vidayi Hogi...
Jise
Apna Kaha Karta Tha Wo Bharam Mera Todegi Aur Aaj Mujh Se Wo Prayi Hogi.....
(h)
ReplyDelete