Fikar
Main Bachchon Ki Kuch Aise Ghul Jati Hai Maa…
Navjawan
Hote Hue Bhi Budhi Nazar Aati Hai Maa…
Rooh Ke
Rishton Ki Yeh Gehraiyan To Dekhiye…
Chot
Lagti Hai Hamare Aur Chillati Hai Maa…
Kab
Zarurat Ho Mere Bachchon Ko Itna Sochker…
Jaagti
Rehti Hain Aankhe Aur So Jati Hai Maa…
Ghar Se
Jab Perdes Jaata Hai Koi Nure Nazar…
Laakh
Duayein Leker Dar Pe Aa Jati Hai Maa…
Jab
Pareshani Main Ghir Jaate Hain Hum Perdes Main…
Aansuon
Ko Ponchne Khuwabon Main Aajati Hai Maa…
Chahe
Hum Khushiyon Me Maa Ko Bhul Jayen Dosto….
Jab
Musibat Sar Pe Aajaye To Yaad Aati Hai Maa…
Lout
Ker Safar Se Jab Bhi Wapas Aate Hain Hum…
Daalker
Bahein Gale Main Sar Ko Sehlati Hai Maa…
Shukriya
Ho Hi Nahi Sakta Kabhi Uska Ada…
Marte
Marte Bhi Dua Jene Ki De Jati Hai Maa…
Marte
Dum Bachcha Na Paye Kabhi Perdes Se…
Apni
Dono Putliyan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa…
Kabra
Ki Aagosh Main Jab Thak Ke So Jati Hai Maa…
Jab
Kahin Jaker Thoda Sakun Paati Hai Maa…
Pyar
Kehte Hai Kise Aur Mamta Kiya Cheej Hai…
Yeh To
Un Bachchon Se Pucho Jinki Mar Jaati Hai Maa….
Comments