
Amavasya Ki Wohh Raat… Aur Ek Sunsaan Sadakkk…Jahan Maano Kitne Barso Tak Khaamoshi Hi Chaayi Rehti Hai..Oosi Sadak Ke Theek Saamne Ki Or…Ek Purana Sa Khandhar Jaisa Kilaa..Kutto Ki Rone Ki Awaaz…Ho Ho Karti Hawaao Ka Shorrr….Ek Gehra Sannata Charo Or..Ullu Jo Ki Paas Bane Pipal Ke Paid Par Baithaa Huaa Hai…Bari Bari Aankho Se Ghurrte Huye Ek Azib Si Bhari Si Awaaz Nikal Rahaa Hai…Kuch Hi Pal Mein Ek Roshni Aate Dikh Rahi…Naa Jaane Is Veeran Mein Kaun Zindagiyaa Aayi Hai?....Gaadhi Puri Tez Raftaar Ke Sath…Ek Shaks Chalaa Rhaa Hai…”Yaar Vicky Maine Tere Ko Pehle Hi Kahaa Tha…Itne Sunsaan Jagah Par Chalkar Kya Karenge?”…..Rohan Ne Vicky Ko Kahaa…Jo Gaadhi Chala Raha Tha
“Abeyy Sunn Ye Sheher Se 3 Km Ki Duri Par Hi Hai…Aur Ye Jagah Barso
Se Veeran Hai…Kabhi Yahan Mugalo Ki Laraaiya Huyi Thi…Tabse Lekar Aajtak Yahan
Khandhar Hai Aur Kuch Nahi…Apna Munh Band Rakh….”….Vicky Ne Piche Baithi Apni
Girlfriend Ki Or Dekhte Huye Kaha…Jo Muskuraa Rahi Thi
Jald Hi Gaadhi..Kile Ke Theek Samne Aakar Ruki…Headlights Off Karte
Huye…Vicky Apni Gaadhi Se Bahar Nikalaa..Saath Mein Rohan Bhiii Aur Wohh Ladki
Bhiii…Teen One Ek Dusre Ki Or Dekhaa Aur Charo Or Dekhaa…Kutto Ki Rone Ki Awaaz
Sunaayi De Rahi Thi…Qila Bhayanak Dik Hraha Tha…Vicky Aur Wohh Ladki Sehem
Gaye…”Yaar Vickyyy Yahan Aake Humne Koi Galti Toh Nahi Kar Di..Itni Raat
Gaye..!”…..Rohan Ne Vicky Ki Or Dekhte Huye Kaha…
“Hahaha Abeyyy Dharphok..Hamara Yaahan Aane Ka Maqsad Sirf Yahii Hai
Ki…Hum Jald Se Jald Oos Tehkhaane Ke Baarein Mein Pata Kar Le..Jo Yahan Saalo
Pehle Dafan Ho Chukka Hai…Ek Baar Pata Chal Jaaye Naa…Toh Sabko Daraa
Denge…Humhein Ek Video Toh Banana Haiii Bass…Chalo Bhaii Camera Lo Aur Shuru Ho
Jao Natasha Madam Pls Will U Start The Story Narration Right Now”……Vicky Ne
Muskurate Huye Natasha Ko Dekhaa
Natasha Ne Camere Ke Saamne Pose Lete Huye Narration Karna Shuru Kar
Diyaa…Teeno Haunted Ghost Par Video Bana Rahe They..Saqt Manaa Hi Thi..Par In
Logo Ne Saarein Niyam Kanoon Todhkar Ye Kaam Shuru Karaa Tha…Kuch Dair
Baad…Teeno Oos Tehkhaane Ko Dhundhne Lage…Andhere Mein Torch Jalate Huye…Idhar
Udhar Nazarein Fhiraane Lage…Rohan Ne Camera Hold Kar Rakhaa Tha….
Achanakkkk Natasha Bolte Bolte Ekdum Se Gir Pariii….”Aahhh”…Ooski
Cheekh Ne Dono Ko Chaunka Daala..Vicky Ne Torch Maara…Aur Ooske Chehre Par
Muskurahat Aa Gayiii….Rohan Oose Hi Ghurr Raha Tha..”That’ss Itt
Fantastic”…Vicky Ekdum Se Cheekh Kar Bola…”Kya Fantastic Aah Ss Lagta Hai Ss
Ghiss Gayaa Uff?”…….Dard Bhari Nigaahon Se Natasha Ne Apna Pair Pakadh Liya
“Guys Ye Dekho Natasha Ka Pair Is Mitti Mien Dhass Gaya Tha…And Now
Ye Dekho Ye Mitti Sidhe Is Oos Bare Gufa Ki Or Jaa Rahi Hai…Dekho Andhere Mein
Dikhaa Nahi Tha..Ye Dhassti Huyi Mitti Hai..”……Rohan Vicky Ko Chaunkte Huye
Dekh Raha Tha..Charo Or Jhinghur Ki Awaaz Aur Khaamoshi Thi..
“Ya..Rr Vickyy Itna Baraa Risk Nahi Lena Chahiyeee…Pata Nahi Kab Se
Ye Gufaa Band Hai…Koi Andar Gaya Bhi Nahi Hoga…Kahin Dhas Naa Jaaye Aur Hum
Sab!”……Rohan Ne Camera Kaanpte Huye Kaha
“Arre Yaar..Tum Log Bhi Is Project Ka Kyu Hissa Bane Ho? Dekho 25000
Milenge Aur Fame Alag Se…Internet Par Upload Hote Hi Kitne Calls Aayenge Pata
Hairaaton Raat Amir Khairr Chalo Mere Sath..Camera On Rakhoo Let’s Get
Inside”…….Vicky Ne Guffa Ka Jaayeza Lete Huye Kaha
“Butt It’s Not Safe I Mean Koi Jaanwar Something Koi
Saanp?”…….Natasha Ne Sheemte Huye Kaha
“Kuch Nahi Hoga Bandhu…Ye Dekho Desi Katta Hai…Revolver Sidhe Shoot
Kar Denge..And Don’t Worry Back Up Hai…Chalo Ab”….Itna Kehte Huye Natasha Kaa
Haath Pakadhkar Vicky Guffaa Ke Andar Badhne Lagaa
Kuch Hi Dair Mein Teeno Gufaa Ke Andar They..”Baap Re Yahan Toh
Jaise Mera Dum Ghuntt Jaayega”….Natasha Ne Khaaste Huye Kaha..”Hmm Jagah Kaafi
Saalo Se Band Hai..Ek Min”…..Vicky Ne Diwaar Tatolte Huye Oos Mashaal Par Aag
Lagaa Di…Mashaal Jal Uthi…”Wow Itna Purane Zamaane Ka Mashaal Bhi Jal
Utha…Waaqayai Ye Jagah Par Zarur Koi Khaazaana Hogaa…Chalo Oos Taraf”…..Aage
Badhte Huye Vicky Ne Kaha…”Rohan Tum Camera On Kar Lo..Video Shoot
Karo..Natasha Tum Narration Do Main Jaayeza Lete Huye Agae Badhunga”….Vicky Ke
Kehane Par Dono Apne Kaam Par Lag Gaye…Guffaa Ekdumm Veeranthi…Charo Or Roshni
Se Patthar Dikhaayi De Rahe They…Achanakk Oon Teeno Ke Saamne Ek Baraa Saa Mota
Darwaja Aa Gaya…Jispar Koi Nishaan Sa Thaa
Garr Garr Karta Huaa Vicky Ne Darwaaje Ko Khol Daala…Vicky Kaanpte
Huye Camera Pakdhaa Huaa Tha….Andarr Ek Azib Si Badbu Thi…Vicky Dheere Dheere
Sidiyo Se Niche Utarne Laga..Natasha Ne Oose Manaa Kara..Lekin Wohh Toh Ekdum
Hairaan Tha…”Waahhhh Dekhaa Guysss Ye Jagahhh Toh Tehkhaana Haiiii…Zarur Yahan
Mughal Sultanate Ka Khaazana Garaa Hogaaa…Mazaa Aa Jaayegaa Yessss”…..Vicky Ne
Zor Se Chillate Huye Kaha
“Vickyyy Yaarr Waapis Chalte Haiii Ye Jagh Mujhe Kuch Theek Nahi Lag
Rahi”…..Kaanpte Rohan Ne Kaha…”Theek Hai Theek Haii Ek Bar Shoot Kar Le Ooske
Baad Nikal Challenge Ok”….Rohan Ne Gufaao Ki Or Dekhte Huye Kahaa….
Dheere Dheere Teeno…Sidiyo Se Niche Utaarein…Charo Or Andheraa
Tha…Lekin Mashaal Ki Roshni Mein Sab Kuch Dikh Saktaa Tha…Charo Or Ghass Latak
Rahi Thi…Maano Kaafi Barso Se Bandtha….Vicky Aur Sab Hairaani Se Idhar Udhar
Dekh Rahe Theyyy…Achankkk Se Natasha Ne Narration Shruu Kar Diyaa..”Jee Haan
Aap Dekhte Hai Ki Main Is Waqt Purane Qile Ka Oos Rahasya Ka Parda Faash Kar
Rahi Hoo Jo Aap Dekh Sakte Hai Apne Charo Or….Ye Jagah Barso Se Band Thi..Par Aaj
Is Rahasya Se Parda Uth Gaya Hai…Ye Tekhaana Kareeb 200 Saal Se Band
Tha..Aur!”……Natasha Ne Sabkuch Chodhkar Vicky Ki Or Dekhaa…Jo Thodha Kaanp
Gayaa Tha..Rohannn Camera Pakde Oos Or Dekhte Huye Kaanpein Jaa Raha Thaa
“Y..Yee Salaakhennnn Haiiii Y..Ee Dekhooo Taala Lagaa Haiiii Udhar
Bhiii Idhar Bhiii Au Raise Kayi Saalakho Jaise Kamre Andar Tak Jaa Rahe
Hai”……Vicky Ne Natasha Ki Or Dekhte Huye Kaha
“Matlabb Ye Koi Kaidkhaana Hai”……Rohan Maano Khauff Se Darr Gayaa
“Hmmm Shayaddd….Udhar Dekho”…..Vicky Ne Oos Kaid Ke Andar
Dekhaa…Andar Haddiyo Ke Dhaanchey Pare Huye Theyyyy….
Natasha Ekdum Se Sehem Gayiii..”Chiiii Yee…Yee Kahan Aa Gaye Hum?
Let’s Go Guyzzz Yahan Rukna Theek Nahi….Humne Kya Sochaa Aur Yahannnn Kya Nikal
Gaya”..Natasha Ne Darrte Huye Kaha…”Pata Nahi Guyzz Chalo Aage Bhi Dekhte
Hai”…..Vicky Ne Kaha…”Tera Dimaag Kahrab Hai Main Aage Nahi Jauungaa Ye Toh
Kaid Khaana Hai..Yahan Sadi Huyi Laash Aur Haddi Kankaal Ke Alawa Kuch Anhii
Main Jaa Rhaa Hooo Tujhe Marna Hai Toh Mar”…..Vicky Ke Laakh Kehane Par Bhi
Rohan Ne Kaanpte Huye Camera Zameen Par Rakha Aur Waapis Jaane Lagaa…Ki Itne
Mein…Oos Awaaz Ne Teeno Ko Kaanp Daala
“Aauuuuuu Aaahahahahaaaaa”….Ekdum Bhari…Azib Si Awaaz…Maano Jaise
Koi Janwar Dard Mein Rota Hai….Vicky Ne Torchhhh Oos Andhere Kaidkhaane Ke
Kamre Ki Or Maarte Huye Kaha
“Bh..Aaggg Vickyyy Challl Chall”….Rohan Ne Kaanpte Huye Kaha
“Abeyy Ruk Yaar..Shayad Koi Jaanwar Hogaa”…..Vicky Ne Sehemte Huye
Natasha Ki Or Dekha..
Thak Thakk Thakk…Natasha Ka Pasina Chutt Gayaa…Aankhen Bari Bari Hone
Lagi…Rohan Bhi Ghabraayi Nighaahon Se Charo Or Dekhne Laga..Maano Jaise Koi
Mota Jutaa Pehne Oonke Karee Baa Raha Thaa…..
“Aaaaaaaaaaaaaah”….Natasha Ekdum Cheekh Pari…Saamnnnee Ek Dummm Sar
Katta Murdaa Hatho Mein Zanjeer Lipate…Oon Logo Ke Kareeb Andhere Se Nikalkar
Aa Raha Tha…Vicky Cheekhta Huaa Bhaaga…Iske Sath Natasha Aur Rohan Bhi Bhaag
Utheyyy
Teeno Bhaagte Huye Waapis Sidiya Chadhne Lage..Itne Mein Vicky Ka
Pair Fisla Aur Sidhe Patthar Par Sar Lagte Huye Wohh Waapis Gufaa Mein Gir
Para…”Vicckyyy”….Natasha Ne Cheekha…Par Rohan Ne Ooska Haath Pakra Aur Dono
Bahar Ki Or Bhaag Gaye…Vicky Ne Jab Saamne Ki Or Dekhaa…Toh Paayaa Is Baar Wohh
Ek Nahiii They Kaafi Saarien They…Oonke Haat Hmein Katili Talvaare
Thi…Kaidkhaane Ke Wohh Murdee…Theyyy Jinhein Berehemii Se Ghunt Ghuntt Kar Is
Kaidkhaane Mein Zinda Chodh Diya Gayaa…Oon Logo Ne Vicky Ko Dekhaa..Vickyyy
Ekdumm Zor Se Cheekhaaa..Aur Ooske Saath Hi Farsh Par Khoon Bikhar Gaya…Teeno
Murde Ooske Jism Ko Haatho Sse Cheer Cheer Kar Oose Fhaadh Chuke Theyyy
Bahar Nikalte Nikalte….Achanakkkk Sse Natashaa Ki Taang Ko Ek Lambe
Naakhun Waale Hath Ne Pakadh Liya…Natasha Cheekhte Huye Gir Pariii…Rohan Ne
Oose Kasskapr Kakadh Liya..”Nahii…Nahiii Mujhe Chodhnaa Nahii Plsss Mainn Marna
Nahi Chahtiii”…….Natasha Rone Lagi…Rohan Ne Oose Bachanaa Chahaa..Lekinnn
Shayadd Oos Bhayankk Chehre Ko Paas Aate Huye Dekhkar Oosne Natasha Ka Haath
Chodh Diyaa…Sataakkk Se Wohh Hchehera Andhere Mein Gaayab Ho Gayaa..Natashaa
Ekdum Se Ghasitte Huyi Waapis Gufa Ke Gehraaiyo Mein Gir Gayii…..Natasha
Cheekhtii Huyi Andhere Mein Kahin Gaayab Ho Gayii…Rohan Apna Seena Pakadhte
Huye Wahan Se Bhaag Uthaaa
Zanjeer Mein Oon Murdo Ne Natasha Ko Pakad Liyaa Tha Kisi Ka Chadhma
Toh Kisi Ka Sar Kataa Huaaa….Kisi Ka Maans Nahi Jism Mein…Har Koiiii Natasha Ko
Ghurr Ghurrkar Aise Bhaari Gale Se Hass Raha Tha..Ki Ooski Thahaako Se Pura
Tehkhaana Gunz Raha Hta….Natasha Cheekh Rahi Thi..”Nn..Nahiiiiii”….Natasha
Cheekh Rahi Thi Ro Rahi Thi…Achankkk Se…Oos Murde Ne Natasha Ke Chehre Ko
Ekdumm Kheench Liyaa…Aur Ooske Chehre Par Ungli Gadhaa Di…Charo Or Se Khoon
Behane Lagaa…Dard Se Natasha Ka Munh Khula Ka Khulaa Reh Gayaa…Charo Or Murde
Ooske Chehre Par Ungli Dhasaa Chuke They Aur Oose Bedardi Se Kheechne Lage…Jald
Hi Khoon Aur Lattho Ke Saath Oonhone Berehemi Se Natasha Ka Chehra Kheench Ke
Ukhaadh Liyaa…”Aaaaaaaaaaaahh”…..Ek Zordaar Cheekh Gunziii Aur Ooske Baad
Sabkuch Khaamosh Ho Gayaa…
5 Days Later…
Raat Ke Das Baj Chuke They…Main Chaii Ki Chusskiyaa Leta
Huaaa…Computer Par Paranormal Research Kar Raha Tha…Lekin Akele Akele Dil Hi
Nahi Lag Raha Tha…Bhoot Prêt Pisaach In Sab Ke Baarein Mein Jaankariya Nikaal
Raha Tha…Lekin Koi Khaas Baat Pata Nachali…Ab Ye Sab Janne Ke Liye Mujhe Azaan
Sir Ke Paas Jaana Tha…Main Oonhein Disturb Nahi Karta…Kuch Hi Dino Pehle As An
Assistant Main Azaan Ke Sath Join Huaa…Aur Ab Bina Aise Case Mile…I Was Feeling
Bored.,.Pure Din Office Mein Kaam Kaaj Karte Karte Waqt Guzar Gayaa..Upar Se
Paranomalist Ke Phone Calls..Waise Azaan Sheikh Kaafi Important Lete Hai..Lekin
Jo Case Oonhein Lage Ki Challenging Hai Oose Toh Bakhubi Lenge..Amaliyat Ke
Sath Sath Azaan Sir Ne Kaala Jadu Sifli Amal Jaise Anek Cheezo Ke Baarien Mein
Jaana Hai..Kaafi Professional Kisam Hai Jis Wajah Se..Aaj Parnormalist Mein
Oonka Naam Sabse Upar Hai…Aur As An Assistant Ye Kisi Saubhagya Ki Baat Hongi
Ki Ekdin Main Bhi Oonki Tarah Banungaa…Achanakkkk Se Jism Siharrr Sa
Gayaa…Thand Se Ekdum Kaanpne Lagaa
Charo Or Dekhne Laga..Kamre Ke Charo Taraf Siwaaye Bed Table Aur
Computer Ke Kuch Nahi Tha…Lekin Ye Kaisi Ahesaas Thi…Pura Sharer Jaise Kaanpne
Lagaa..Main Kaanpta Huaa Chair Se Uth Kharaa Huaa Computer Off Kiya..Aur Sidhe
Darwajaa Kholaa..Chrr Chrr Karta Huaa Charo Or Andhera..Upar Ka Kamra Jahan
Azaan Sir Ka Room Hai..Oonke Mere Beech Ke Faasle Par Sidiyaa..Main Sidiyo Se
Upar Gayaa…Darwaja Knock Karna Mere Liye Nahi..Darwaaje Ke Khulte Hi
Table Par Moti Moti Kitaab Ke Theek Saamne Chair Par Laitaa Huaa
Gambhir Shaks Koi Aur Nahii..Azaan Tha…Chupchaapp Baithaa Gaal Thodha Baithaa
Huaa Aankho Mein Ek Chashma…Mota Frame Wala…Ek Kaala Shirt Aur Pyjama
Pehnaa…Haath Mein Ek Rolex Ki Gharii..
“Kuch Dair Pehle Koi Aaya Tha Kya?”…..Maine Azaan Sir Ke Paas
Baithte Huye Kaha….”Hahaha Aaya Tha…Ek Budha Shaks..Ek Aatma”….Azaan Ne
Muskurakar…Samajh Liyaa Tha Ki Wohhh Mere Andar Chuppi Positive Energies Ki
Baat Kar Rahe Hai..Matlab Mujhe Kisi Bhi Aatma Ke Baarein Jo Awaas Ho Jata Hai
Ooske Baarein Mein
“Aatma!”…Ye Mere Liye Koi Nayi Bat Nahi Thi..Lekin Azaan Sir Ke Paas
Koi Aatma Milane Aaye..Ye Azib Baat Tha..Mujhe Aaye Kuch Hafte Hi Huye
They..Aur Itna Kuch Janne Ke Baad Shayad Hi Koi Insabpar Yakeen Kare..”Haan
Ji…Barrister Kishan Singh Aaye They..Mere Purane Friend Jab Zinda They Tab Bhi
Milane Aate They..Aur Ab Marne Ke Baad Bhi Oonhein Mujhse Kuch Kaam Tha..Oonka
Mann Hai Ki Oonke Bete Oonke Liye Naye Ghar Mein Hawan Karaaye..Woh Bahut
Bechain Ho Rahe They Waise Wohh Chale Gaye Hai Ab Darro Mat”…..Maine Hairaani
Se Azaan Sir Ki Baat Ko Sunaaa Aur Oonhein Muskurate Dekha
“Par Wohh Tohh Aatma Hai Naa?”….Maine Hairani Bhare Swar Mein
Kaha..”Haan Tohh”….Azaan Ne Normally Jawab Diya..”Arre Matlab Ki Wohh Ek Aatma
Hai Toh Aapko Nuksaan!”…..Abhi Maien Kahaa Hi Tha…”Hmmm Tumhein Bahut Kuch
Seekhna Parega Shekhar…Ye Shaant Aatma Thi..Har Aatma Buri Nahi Hoti…Aatmaye
Teen Kisma Ki Hoti Hai..Ek Prêt Aatma Jise Kehte Hai Insaan Ki Aatma Ek Aatma
Jo Jaanwar Ki Paayi Jati Hai Jaise Sher Billi Kutte Ki..Aur Ek Aatma Hoti Haiii
Jo Naa Toh Insaan Kehlaati Hai Aur Naa Hi Jaanwar Ki..Jise Jinn Bhoot Shaitan
Kaa Naam Diya Jata Hai”…..Azaan Ki Baat Ko Sunkar Thodhi Hairanai Huyiii Aur
Matlab Bhi Samajh Gaya Ki Har Aatma Ek Jaisi Nahi Hoti…Naa Darawani Hoti Hai
Aur Naa Hi Hinsak
Azaan Sir Se Abhi Baat Kar Hi Raha Tha Ki Itneyy Mein…Azaan Sir Ne
Taash Ke Patte Uthaaye..Waise Azaan Sir Juaa In Sab Ko Haraam Maante
They..Lekin Oonke Andar Kisi Bhi Cheez Se Koi Gheen Nahi Thi…”Ye Patte Dekh
Rahe Ho Kabhi Aag Dekhaa Haiii”…..Azaan Ki Baat Sunkar Hassi Nahi Tehri Haste
Huye Kaha “Hahahhaa…Haan Dekha Haii”….Maine Azaan Sir Ki Taraf Dekhte Huye
Kaha..”Hmm Neeli Aag Laal Aag”…..Oonke Is Jawaab Se Mujhe Laga Pakka Wohh Mujhe
Koi Trick Dikhaayenge..Is Excitement Ke Liye Main Hamsha Tayyar Rehta Hoo
Kuch Hi Dair Mein Oonhone Naa Jaane Kya Kya Badhbadhayaa..Aur Maine
Dekhaa Teeno Patte Kaanpne Lage…Table Hil Nahi Rahi Thi Par Ye Kaanp Kaise
Sakthey?....Kuch Hi Dair Mein..Ekdumm Se Chingarriii Uthne Lagii Dhuaa Nikalne
Lagaa Aur Kuch Hi Dair Mein Mere Saamne Teeno Patto Par Fhunkte Hi..Wohh Teeno
Laal Aur Neelaa Jalne Lage…Main Hairaani Se Aankhen Fhadh Fhadh Kar Dekh Saktaa
Tha..Azaan Muskura Rahe They Oonhone Muskurakar Mere Ddhyaan Ko Hataya Aur
Mujhe Ishare Se…Ek Glass Paani Laane Ko Kaha
Kuch Dair Laal Rang Aur Neele Mein Jalne Ke Baad…Teeno Patte Jalkar
Rakh Ho Chuke They..Maine Baithkar Muskurakar Azaan Sir Ko Paani Diya…Oosne
Itna Kuch Seekhna Waaqayi Kisi Jaadugar Se Jadu Sikhne Ke Barabar Tha Ye Koi
Jaadu Nahi Ise Kehte Hai Upari Ilam Jo Inhone Haasil Kar Rakhi Thi…Kisi Ojhaa
Tantrik Se Nahi Balki Aise Logo Se Jinke Baarein Mein Hum Jaante Tak
Nahi…Khairr Kuch Dair Ki Idhar Udhar Ki Baat Ke Baad…Phone Baj Uthaaa
Thodhey Dair Azaan Sir Ne Baat Ki Aur Achanak Oonka Muskurata Chehra
Gambhir Ho Uthaa…Main Bhi Oonhein Hairanai Se Dekhne Lagaa…Kuch Der Beete Hi
Theyyy…Ki Ghar Ki Ghanti Baj Uthi…Jaakr Darwaja Khola Toh Paaya Do Constables
Aur Ek Inspector Aaye They…Ghani Muchhh Raubdaar Chehra…Fhula Huaa Jism…Aur
Haath Mein Ek Police Ki Choti Laathi…”Azaan Sheikh Hai Ghar Par!”…..Oonhone
Topi Utarte Huye Gambhir Awaaz Mein Kaha..Maine Sir Haan Mein Hilaakar Oonhein
Andar Aane Ko Ishara Kiyaa
Ghat Ghatt Tez Bhari Awaaz Se Wohh Fauran Jald Hi…Azaan Sir Ke Cabin
Mein Daakhil Huye…Azaan Sir Ne Muskurakar Oonse Haath Milaaya..Aur Mera
Parichay Diyaa…Aur Fhir Onka Parichay Diya…Inspector Syed Siddiqui
“Aaiye Inspector Syed Saahebbb Kaise Aana Huaa? Aaj
Yahan?”…..Aavbhagat Swar Mein Azaan Ne Kahaa….”Puchiye Mat…Kya Keher Gir Para
Hai Mujh Par? Bahut Mushkilo Ke Baad Hi Yahan Aa Paaya Hoo”….Inspector Syed Ke
Chehre Par Shikhar Daudh Aayi
“Kyu Aisa Kya Hua?”….Mujhse Bina Bole Rahaa Nahi Gayaa…Syed Ne Meri
Taraf Dekhte Huye Pareshaani Bhari Awaz Mein Jawaab Dena Shuru Kara…”Darasall
Ye Dekhiyee Newspaper Aap Khud Hi Jaan Jaayenge”…..Khatt Ki Awaaz Ke Sath
Newspaper Ke Padhte Hi…Main Hairaan Ho Utha..Azaan Sir Bhi Hairaan They..Lekin
Gambhirr
“Ye Sheher Mein Bessvi Waardat Hai Jo Oos Purane Qile Ke Taraf Huyi
Hai…Kal Teen Naujawan Ek Ladki Aur Do Yuvak Is Qile Ke Paas Gaye..Aur Oonhone
Tehkhaane Ki Taalash Karni Chahi…Tehkhaanaa…Aisi Jagah Haiii Jise Mughal
Sultanate Ke Badashah Ne Banayaa Tha A Basal Mein Wohh Tehkhaana Kis Taraf
Haiii Aur Kahannn Hai? Ye Pata Lagana Muskhil Huaa..Humne Kaafi Koshishein Ki
Par Hum Naakam Rahe”……..Inspector Syed Ki In Baton Ko Sunte Hi Maano Jaise
Kaafi Chinta Ki Baat Thi
“Toh Sirr Aap Itne Bare Inspector Hai Bhalaa Aapko In Kaamo Mein
Meri Kya Zarurat? Main Koi Jasoos Toh Nahii…Ek Paranomalist Expert Hoo”……Azaan
Ne Hasskar Kahaa…
“Aap Samajh Nahi Rahe Maine Kaafi Taftish Ki Isse Pehle Bhi Crime
Branches Neb Hi Koshishein Ki Par Koi Sabut Haath Nahi Lagaa..Lekin Aaj Jaake
Ek Sabut Hath Lagaa Ek Chashmadid Gawaah Khud Jo Oos Tehkhaane Ke Andar Oon
Dono Ke Sath Gyaa Tha Natasha Aur Vicky Ke Sath..Oosne Dekha Ki Vicky Ko Kitne
Bedardi Se Oon Murdo Ne Maar Daala…Aur Natasha Ko Oos Bhayank Chehre Waale
Shaks Ne Kheench Liyaa Aur Kuch Puchtte Tab Talak…Oose Heartattak Aachuka
Tha..Bhayanakk Cheez Ko Dekhne Se Oose Dil Ka Daura Padh Gaya Wohh Bhaag Niklaa..Lekin
Zyada Gavaahi Na De Saka Aur Mauke Pe Hi Mar Gaya”…….Kuch Dair Ke Liye
Inspector Syed Ke Kehane Baad Khaamosh Chaa Si Gayiii
Azaan Gambhir Swar Meinnn Sochtaa Huaa…Meri Or Dekhne Laga Aur Fhir
Kisi Gehri Soch Mein Dub Gayaa…”Pls Help Me Ek Toh Upar Se Dabaav..Orders Aur
Press Waalo Ko Jawaab De Dekar Thak Gaye Hai…Ab Itna Pressure Lekar Chalna
Bhaari Par Raha Haiii..Plss Sir Aap Iska Hal Jaante Hai Ye Koi Insanai Masla
Nahi Hai..”……Azaan Inspector Syed Ki Baatein Gambhir Se Sun Raha Tha
“Aapko Nahi Lagta Ki Ismein Kisi Daaku Dakait Yaa Fhir Kisi Aise
Shaks Ka Haath Hai Jiska Is Zameen Par Nazar Ho”…Azaan Jaante Huye Bhi Tukka
Bhaidh Rahe They
“Bilkul Bhi Nahi Sarkaari Zameen Haiii Aur Oos Veerane Mein Jaayega
Bhi Kaun? Lekin Maine Oos Ladke Ke Aankho Mein Wohh Kahuff Dekhaa..Kitna Darr
Tha Ooske Seene Mein..Jise Who Bardaashtn A Kar Sakaa..Zarur Wohh Tekhaana
Wohiii Kahinn Haiii Jismein Koi Cheez Haiii Jo Kaafi Khatarnak Hai”…….Inspector
Syed Ki Baton Ne Azaan Sir Ko Gambhirta Mein Daal Diyaa
“Theek Haiiii Aapke Paas Waqt Hai?”…..Azaan Ne Thodhey Der Chuppi
Saandhkar Kaha..”Ji Bilkul”….Inspector Syed Ne Haan Mein Jawaab Diya…”Theek
Haiii…Aaj Raat 12 Baje Tak Aapko Yahi Teherna Haiii Main Saare Sawaalo Ka
Jawaab Aaj Hi Aapko Bataa Dungaa”…….Azaan Sir Ki Baton Ko Sunkar Lagne Laga Tha
Ki Kuch Na Kuch Romanchak Toh Zarur Hai…Khairr Hum Teeno Hall Mein Hi Baithkar
Raat Ke 12 Baje Hone Ka Intezaar Karne Lage….Ho Ho Karti Hawaao Ka Shorr Badh
Chukaa Tha..Charo Taraf Mombattiya Jal Uthi Thi...
Azaan Sir…Ne Apne Chashme Ko Utaarkar…Sidhe Baithey Huye Aankhen
Mundraakar..Dhyaan Lagaa Rahe They…Munh Chal Raha Tha..Yaani Kuch Kuch Bolkar
Badhbadhaa Rahe They…Mombatiiyaa Bahar Ki Khuli Khidhkiyo Se Padhpadhaa Rahi
Thi…Oonki Jalti Roshni Aur Ek Azib Si Mehek Se Kamraa Pura Gunz Raha Tha…Syed
Sirr Ekdum Chupchaap Gambhir Tarike Se Azaan Sir Ki Or Dekh Rahe They…
Azaan Jiski Kuch Hi Dair Mein Aankhennn Kaanpne Lagi…Maano Jaise Koi
Bhayanak Sapna Ooske Andar Chal Raha Ho…Azaan Dekh Raha Tha…Ki Ek Purana Sa
Qilaa Hai..Charo Or Jungle Aur Veeran…Azaan Ko Kuch Hi Dair Mein Qile Ke Sate
Oos Guffa Ki Or Nazarana Milaa..Jalti Mashaaelin…Thak Thak Karte Huye Zanjeer
Mein Bandhe Kaidi..Jinke Dono Taraf Berehem Sipahi..Jinhein Chaabuk Se Maara
Jaa Raha Hai….Oonki Chekhen Gunz Rahi Hai..Pura Gufaa Chekhon Se Gunz Raha
Hai…Oonke Jismo Par Asture Chalaye Jaa Rahe Hai…Oonhein Tezaab Se Nehlaaya Jaa
Raha Hai…Kucho Ke Cheekho Ki Aur Oonke Haatho Mein Qil Thokne Ki Khaufnaak
Drishya Dekhte Hai..Azaan Pasine Pasine Hokar Ekdum Se Apni Aankh Kholkar
Kaanpne Lagaa..Aankhen Laal Ho Chuki Thi…
Maine Azaan Sir Ko Is Haalat Mein Dekhte Huye Oonhein Jald Hi Paani
Diyaa…Pani Peen Eke Baad Oonhein Kuch Raahat Si Mili…Oonhone Gale Se Ek Lavz
Nikaala “Shukriya” Ooske Baad Munh Ponchte Huye Kuch Dair Tak Waise Hi Dhyaan
Karte Rahe..Kareeb Subah 1 Baj Chukaa Tha..Neend Naa Meri Anakho Mein Thi Aur
Naa Hi Inspector Syed Ki Aankho Mein..
“Toh Kya Dekhaa Aapne?”…..Syed Sir Ne Cigarette Jalate Huye Kaha..
“Kaafi Khaufnak Keh Nahi Sakta…Kisi Bure Sapne Jaisa…Koi Kaidkhaana
Hai…Jahan Saikdo Kaidi Ko Zanjeer Mein Jakadhaa Huaa Tha…Oonehin Berehem
Sazaaye Di Jaa Rahi Thi…Oonke Cheekhen Dard Mere Kaanon Mein Ab Bhi Gunz Rahi
Hai”…….Azaan Sir Ne Coffee Ki Chuskiya Lete Huye Kaha
“Dekhiye Ye Khoon Ka Maamla Toh Nahi Hai..Par Hum Ise Bhootiya
Ghatna Banakar Bhi Nahi Jhutla Sakte..Asal Mein Aap Wahan Taftish Kare Aur Pata
Lagaaye Ki Aakhir Wajah Kya Hai? Ye Koi Aam Insaan Ka Haath!”…..Abhi Syed Ne
Kaha Hi Tha
“Bilkul Nahi…Rohan Ki Mautt Huyi Kyunki Oosne Wohh Bhayanak Manzar
Dekhaa Jo Oose Kabhi Socha Bhi Naa Tha.Oose Ka Dil Ka Daura Padh Gayaa..Aur
Marr Gayaa..Oosne Gawaahi Mein Oos Purane Qile Ka Sirf Zikar Kiyaa…Yakeenan
Maine Jo Kuch Dekhaa..Wohh Jhoot Nahi Ho Sakta…”…….Syed Ke Chehre Par Azaan Sir
Ki Baton Ka Accha Sadma Sa Laga Tha
“Lekin Mujhe Is Khooni Kaand Ko Band Karna Hai…Aakhir Kab Tak Aise
Maasumo Ka Qatal Hota Rahega? Aap Mere Sath Chaliye Taftish Kijiye Aapka Pura
Help Main Karungaa…Kanoon Aapke Sath Hai..Koi Andhwishwas Ki Baat Nahi..Main
Sach Par Yakeen Karta Hoo…Kal Hi Din Mein Hum Wahan Chalte Hai…Taftish Ke
Liye”……Syed Ne Muskurakmar Hote Huye Kaha…”Ok’….Azaan Ne Muskurakar Syed Ko
Widaa Kiyaa
Azaan Sirr Ne Oos Raat Mujhse Zyada Baat Nahi Ki..Aur Apne Kamre
Mein Chale Gaye…Par Mujhe Puri Raat Neend Kahan Aati…Main Bhi Oon Khaufnaak
Manzar Ke Baarien Mein Sochte Huye Naa Jaane Kab Neend Ki Aagosh Mein Chalaa
Gayaa..Agle Din Hamare Paas Ek Case Aa Chukaa Tha…Azaan Sir Ne Ye Case..Isliye
Liyaa Thaa Taaki Wohhh Aur Maasum Zindagiyo Ko In Shaitano Se Dur Kar Sake…Aur
In Shaitano Ko In Duniya Se Taaki..Ye Humhe Koi Aur Nuksaan Na Pahuchaa Sake…
Jald Hi Kuch Hi Dair Mein Tapati Garmi Ke Sath…Hamari Gaadhi Oos
Veeran Sunsaan Sadak Se Guzarne Lagi..Jo Ki Purane Qile Se Ekdum Nazdeek
Tha….Wahan Pahuchte Hi…Humhe Purana Qilaa Dikhaa..Ekdum Kaala Purana Sa
Khandhar…Aur Ooske Charo Or Tuti Diwaarein…In Haadso Ke Chalte Yahan Koi Aata
Jata Nahi Tha..Dur Dur Tak Na Koi Basti Thin A Koi Gaanv…Oos Jagah Par Pahuchte
Hi Mujhe Kuch Aisa Mehsus Nahi Huaa…Lekin Azaan Sir Who Ekdum Gambhir Aankho Se
Oos Veerane Ko Dekh Rahe They…
Jald Hi Hum Oos Tute Makbare Ke Saamne Khare They…Charo Or Tapati
Garmi Dhool..Aur Veeran Junglo Ke Kuch Nahi Tha..Garam Hawaaye Chal Rahi
Thi…Inspector Syed Ne Aage Badhte Huye Kaha “Ye Wohiii Jagah Haiii Jahan Wohh
Haadse Huye Hai Gawaah Ne Yahi Ka Byaan Kiya Tha…Aajtak Humhe Koi Suraag Na
Mila Isliye Ye Case Bhi Aur Caso Ki Tarah Band Kar Diya Jaayegaa…Waise Kanoon
Ki Taraf Se Aapko Taftish Karne Ke Liye Koi Adhchan Nahi Hogi…Aap Apna Kaam
Bakhubi Kar Sakte Hai”….Itna Sunne Ke Baad..Azaan Sidhe Makbare Ki Or Chala
Gayaa..Main Jungle Ki Taraf Dekhne Lagaaa
Mujhe Ab Tak Koi Aisi Shakti Ka Sanket Nahi Mil Raha Tha…Jisse Lage
Ki Yahan Kuch Hai..Sabkuch Bilkul Tehraaya Huaa Tha…Par Naa Jaane Kyu Dil Baar
Baar Maqbare Ki Or Hi Jaane Ko Ho Raha Tha…Jab Wahan Pahuchaa..Toh Dekhaa Azaan
Pehle Se Hi Taftish Mein Jutte They…”Kuch Pata Chalaa?”…..”Nahii”…Azaan Ne Mere
Sawaal Ka Ek Hi Baar Mein Uttar Diyaa..Kuch Dair Dekhne Ke Baad…Achanak Se Hum
Bahar Aaye…Azaan Ne Achanak Se Piche Mudhkar Oos Or Dekhaaa…”Ye Miitti Dhassi
Huyi Kyu Hai?”….Azaan Ne Inspector Syed Ki Or Dekhaa…”Sunaa Tha Kabhi Yahan Par
Nadi Hoya Karti Thi…Is Maqbare Ke Theek Is Orrr”….Inspector Syed Ne Kaha…”Hmmm
Theek Haiiii Waise Toh Kuch Khaas Pata Nahi Chala…Lekin Yahan Ki Hawaaye Kuch
Aur Hi Keh Rahi Haiii”….Azaan Ne Syed Sir Ke Chehre Par Pareshaani Dekhi
“Waisee Aap Yahan Par Kisi Ko Naa Aane Ke Liye Ek Board Laga De..Taaki Koi Is
Jagah Par Aaye Naa”…Azan Sir Ke Baton Par Amal Karte Huye Oos Jagah Ko No Entry
Crime Scene Ka Naam De Diya Gayaa…Jis Wajah Se Koi Wahan Nahi Aa Paaye…Hum
Waapis Gaadhi Se Ghar Ki Or Pahuchey…Sawaalat Kaafi They Aur Jawaab Ek Bhi
Nahi…Tohh Jo Amal Karke Azaan Sir Ne Dekhaa Tha Wohh Fhir Kyaa Tha? Lekin Jab
Ghar Pahucha Toh Azaan Sir Ne Jo Kaha Oosse Dil Ekdum Dhak Dhak Karne Lagaa
“Wohh Jagah Behad Khatarnak Haiii..Shekhar”….Azaan Sir Ne Meri Or
Dekhte Huye Kaha..”K..Kaisa Khatarank Mujhe Toh Koi Awaas Nahi Hua..Lekin Ek
Azib Si Ghutan Thi”…..Maine Azaan Sir Ki Or Dekhte Huye Kahaa..”Hmm Wohii
Ghutan Asal Meinnn Tehkhaana Oonhi Zaamen Ke Kisi Kone Par Hai”……Sunkar Main
Romanchit Ho Uthaa…”Toh Aapne Inspector Syed Ko Kyu Nahi Bataya?”…Maine Sawal
Bhari Nazro Se Hairaani Se Kaha..”Hmmm Abhi Nahi…Agar Bata Denge Toh Zaahir Hai
Hamari Protection Ke Liye Wohh Apne Aadmi Logo Ko Bheje…Aur Ye Koi Insaano Ki
Muthbhair Nahi Hai…Wohh Zindaa Shaitane Hai Jinhein Maine Dekhaa Hai…Aur Is
Raaz Tak Ab Sirf Hum Dono Hi Jaana Hai…Aaj Raat”…..Itna Sunne Ke Baad…Soch Liya
Maine Ki Shekhar Beta Aaj Khatre Se Takkar Lene Jaa Rahe Hai…
Kutto Ki Rone Ki Awaaz…Aur Chandni Raat…Azaan Aur Shekhar Purane
Qile Ke Paas Aaye…Oonhone Charo Or Dekhaa…Charo Or Behad Sannaataa Tha…Azaan
Puri Tayyari Ke Sath Ayaa Tha…Jacket Pehni Huyi Thi Daay Haath Se Khushbu Si Aa
Rahi Thi…Kuch Padhte Padhte Azaan Ne Mujhe Saath Chalne Ka Ishara Kiyaa…Main Dheere
Dheere Sehemta Huaa Azaan Sir Ke Sath Badhaa….Aage Chalte Huye…Mujhe Ab Bhi
Kuch Mehsus Nahi Huaa..Azaan Sir Ke Haath Mein Torch Mere Haath Mein
Bhiii…Charo Or Behad Andheraa Chayaa Huaa Tha…Kutto Ki Rone Ki Awaaz Se Dil
Kaanpein Jaa Raha Tha..Lekin Azaan Sir Ke Andar Darr Ki Koi Nishaani Nahi Dikh
Rahi Thi…Achanakkkk Dhass Se Mera Pair Fisla Aur Main Munh Ke Balll Sidhe Oos
Mitti Pe Gir Para…Azaan Sir Ne Mujhe Uthaayaa..”Ohhh Tum Theek Ho”….Abhi Kahaa
Hi Tha Ki Achanak Oonki Nazarr…Mitti Par Parriii..Oonka Bhi Pair Bhi Dhassein
Jaa Raha Tha…Oonhone Mere Baazu Ko Pakra Huaa Tha”Dhasstii Mittii..Jaldi Se
Upar Chalo Fauran”….Waapis Thoss Zameen Par Aakar Humne Niche Ki Or
Dekhaa…Achanakkk Maine Apni Anakho Ke Saamne Oos Andhere Gufaa Ki Or Dekhaa..Jo
Mitti Ke Theek Beecho Beech Bani Huyi Thi..Surang Jaisi…”Yahii Gufaa Hai Jo
Tehkhaana Ki Or Jaati Hai”….Main Ekdum Se Cheekh Kar Bola…”Hmmm Tum Bilkul Sahi
Keh Rahe Ho”…Azaan Ne Mujhe Wohi Par Rok Diyaa..Mera Dil Dhak Dhak Karne
Lagaa…Hum Dheere Dheere Surang Ke Nazdeek Aaye…Humhe Ooske Andar Jaana
Tha…Pehle Toh Torch Maarkar Dekhaa…Fhir Azaan Sir Ne Kuch Padhkar Mujhpar
Phoonka Aur Khud Par Bhi…Hum Dheere Dheere Gufaa Ke Andar Chale Gaye….Andar
Jaate Hiii…Daayi Or Ek Lakri Ki Or Dekhi..Wohh Mashaaal Thi…Azaan Sir Ne Jalaa
Daala.A..Hum Dheere Dheere Aage Badhne Lage…Ab Mere Andarrr Mujhe Kuch Mehsus
Hone Lagaa..Maanooo Jaisi Kitni Garmi Aur Ghutan Ho…Khaasi Bhi Uth Rahi
Thi…Azaan Sir Ke Peeche Tha…Azaan Sir Puri Tayyari Ke Saath Aaye Theyyy
Oononhone Tehkhaane Ke Darwaaje Ko Dekhaa
Oonhone Pehle Dheere Dheere Darwaaje Par Kaan Laagaya Aur Fhir Oos
Nishaan Ki Or Dekhaa Do Talwaar Ka Nishaan…Azaan Kuch Padhte Huyee Tehkhaane Ka
Darwaja Khol Chukaa Tha Ooske Khulte Hi..Behad Andhera Aur Ek Azib Si
Badbu…Aisi Badbu Jisne Mujhe Apne Munh Par Rumaal Rakhne Par Mazbur Kar
Diyaa…Azaan Ne Bhi Munh Par Haath Rakhte Huye Sidiyo Ki Or Dekhaa Aur Hum Niche
Utarne Lage…Kaafi Band Tehkhaana Saatha..Charo Or Latthad Aurr Murtiyaa
Thiii…Niche Pahuchte Hi Mashaal Ki Roshni Mein Dekhaa…Itna Bhayank Si Jagahhhh
Niche Dekhte Hi Meri Rooh Kaanp Uthi..Azaan Bhi Thithak Gaya…Niche Sadi Huyi Ek
Laash Thi….Jiska Chehra Nahi Thaa..Haath Nahi Thaa….Ek Tarafff Ek Jism Se Andar
Ke Sabkuch Cheezein Bahar Nikale Huye Theyyyy Kisi Aadmi Ki Laash Thi…Yakeenan
Ye Wohi Dono Theyyy Jinhone Yahaan Aane Ki Galti Ki…
Andar Pahuchte Hi Torchhh Ne Jalnaa Band Kar Diyaa….Azaan Ekdum Se
Chupp Ho Gayaa…Raat Ke 12 Se Upar Ho Chuke Theyyy…Ek Azib Si Hawaaye Lag
Rahithi…Mera Dil Zoro Se Dhak Dhak Kar Raha Tha..”Shekharr Shayadd Khatra
Hamare Saamne Aanewala Haiii…Tumhein Kuch Mehsus Ho Raha Hai”….Azaan Ki Baton
Ne Mujhe Sehemaa Diyaa…”Haann”….Mere Raungte Khare Ho Gaye..Itni Negative
Energyyy Mujhhhee Kabhii Mehsus Nahi Huyiii…Aur Wohh Awaas Mujhee Theek Tehkhaane
Ke Daayi Or Se Aa Rahi Thi..Jo Kaafi Andhera Tha..Abhi Do Kadam Aage Hi Chale
They…Ki Sirhan Aur Bhi Badh Gayiii Ekdum Se Kisi Ke Hone Ka Mehsus Hone
Lagaa…200 Saal Se Band Is Tehkhaane Mein Kisi Ki Halchal Hone Lagii Hamari Hote
Huye Bhi Kisi Aur Ki Mazudgi..”Aauuuu”….Ek Azib Si Awaaz Ne Hum Dono Ko Chaunka
Daala…Azaan Thodha Piche Huaa…”Nahiii Oos Taraf Mat Jaooo”….Azaan Ne Mujhe Oos
Andhere Ki Or Badhne Se Rok Diyaa….Kuch Dair Hum Waise Hi Khare Rahe…Thakkk
Thakkk…Pairo Ki Shabd Jaise Kisi Ne Koi Lakdi Ka Jutta Pehen Rakhaa Ho..Aur
Hamari Taraf Badh Raha Ho…Azaan Ne Zoro Se Kuch Padhna Shuru Kar Diyaa Aankhen
Band Ho Gayiiioonhone Kuch Padhte Padhte Apne Haatho Se Phunkkaa…Aur Oon
Andhere Ki Gehriyaao Se Ek Bahut Azib Siii Cheekhh Gunzz Uthii”Aauuaaaaaaa”…Jaise
Kisi Ko Dard Huaa Ho Ek Saath Aisi Azib Si Cheekh…Dil Dehel Uthaa…Haath Pao Sab
Kaanpne Lage…Achanakkkk Dekhtaa Hoo Ki Ekkk Lamba Kad Ka Aadmi Kubda Sa Chalaaa
Aa Raha Haii
Hamari Taraf…Ooske Peeche Zanjeer Ki Awazo Ke Saath…Langhdahte Huye
Paas Aa Rahe Haii…Ye Insaan Nahi Hai…Ye Hai Murdaa…Kankaal Kisi Ke Jismo Par
Maans Nahii Chamdhaa..Maano Zinda Murda Uthkar Kabar Se Bahar Aa Gaye…Kisi Ka
Haath Nahiii Kisi Ka Khoonnn Dikh Raha Haiii Kisi Ki Haddiyaa Dikh Rahi
Haii..Koi Azib Si Tahakaa Lagake Hass Raha Haii…Ye Sab Dkehte Huye Mujhe Bhaag
Jaane Ko Dil Tha…Lekin Tabhii Azaan Ne Zor Se Kaha “Shekhar Charrooo Or Mere
Bichaaye Gatbandhi Hai Humhe Is Ghere Se Bahar Nahi Nikalnaa Ye Hamara Kuch
Nahi Bigaahd Sakte”…..Itna Kehkar Azaan Oon Shaitano Ko Ghurrne Lagaa…Oonhone
Phir Kuch Padhna Shuru Kar Diyaa…Aur Ek Jhatke Mein Fhunkte Hi Oonpar Maano
Jaise Aag Ka Gola Faikaa Ho
Wohh Shaitaannn Darwani Nazroo Se…Hamari Or Aa Rahe Theyyy Par Wohii
Teher Gaye…Piche Piche Dekhaa Tohhh Ek Se Ye Log Kulmilakar 15 Se 20 Hone
Lage…Mera Sharer Se Khoon Sukh Gayaa Aisa Khaufnaak Manzar Dekhkar Dil Halak
Mein Aane Ko Ho Gayaa…Azaan Fauran Ghere Se Bahar Utar Gaya…Main Cheekh
Uthaa…Lekin Azaan Ke Zehan Mein Kuch Aur Chal Raha Tha…Oonhone Fauran Apne
Baaye Haath Ki Kil Ko Phoonkte Huyee Ek Murde Ke Upar Chodhiii Wohh Sidhe Ooski
Sar Ke Beecho Beech Jaakar Lag Gayaa…Wohhh Cheekhtaa Huua Wohii Tadapne
Lagaa…Ooski Dard Bhari Cheekhen Sunkar Kaan Phat Si Gayiiii Ab Wohh Murde Azaan
Ke Paas Badhne Lage…Azaan Sidiyo Se Upar Chadhne Laga…Meri Haalat Gambhir Thi
Kuch Samajh Nahi Aa Rhaa Tha Bemaut In Logo Ke Haatho Mera Bhi Piche Gire Oon
Laasho Ki Tarah Hashr Hogaa..Azaan Sheeshe Kuch Paani Sa Nikalta Huaa Haath
Mein Chutki Se Lekar Oon Murdo Par Chidhak Deta…Jisse Wohh Cheekhte Huye Piche
Ho Jaate…Oonke Jismo Par Daraarsi Aane Lagi…Jaise Koi Tezaab Oon Par Daala Jaa
Raha Ho…”Shekharrr Bhaago”….Main Faurannn Chutt Para…Kuch Murde Mere Upar Jaise
Tut Pare…Main Cheekh Uthaa…Lekinnn Azaan Sir Ki Batayi Spells Ko Padhte Hiii
Wohh Log Mera Aur Picha Na Kar Sake…
“Ye Mashaal Looo…Aur In Par Aag Lagaa Doo…Jaldiii Karooo Waqtt
Nahiiii”…..Azaan Ne Mujhe Wohh Jalti Mashaal Faikhte Huye Di…Wohh Shaitan Kaaf
Ikhaufnakkk Lag Rahe Theyyy…Main Kaanpte Huye Wohh Mashaal Uthaayi Ek Pal Ke
Liye Toh Dil Na Maana Aur Upar Uthne Ki Koshishh Kii”Mujhse Nahi Hoga Ye Bahut
Saarein Haii Meri Taraf Hi Badh Rahe Haii Ye Mujhe Maar Denge”….Main Cheekhkar
Sidiyo Pe Chadhey Azaan Ko Kaha “Koshish Karooo Jaldiiiii”…….Maine Hanuman
Chalisa Ko Yaad Karte Huyeee…Sidhe Mashaal Paas Aa Rahe Oon Murdo Ke Upar De
Maariii…Aag Ki Lapatein Lagte Hiii Wohhh Tadapte Huyee Chataptane Lage..Ooska
Sharer Jalne Lage…Maine Kayi Murdo Ko Aise Maarna Chaha..Jinhone Mujhe Ghair
Liya Tha..Ek Ke Baad Ek Ye Murde Mujhse Dur Hone Lage…Ek Mujhpar Ekdum Haavi
Hona Chahhh Raha Tha…Azaannn Ne Fauran Ek Ek Lambiii Khanjar Jaisi Cheez Ko
Ooske Kandhe Par Ghussa Diyaa…”Aaauuuu Aaauuuaaauuuu”…..Ooski Dardnaak Cheekho
Kee Saath Hiiiiii Wohhh Zameen Par Girkar Dhuaa Chodhne Lagaa…Aur Jald Hi Rakah
Mein Tabdil Ho Gayaa…Maine Baakiyo Ko Mashaallll Se Jalana Chahaa….Kuch Hi
Dairr Meinnn Wohh Sabb Hawaa Ki Tarahh Gaayab Ho Gaye
Main Kuch Dair Ke Liye Behosh Sa Hokar Gir Para….Jab Hosh Aaya Tohhh
Azaan Sir Ne Mere Aankho Mein Paani Maara…”Theek Ho”…Azaan Ne Muskurakar
Puchaa..”Haann…Uffff Wohhh Logg Kahan Hai”..Ekdum Se Uthte Huye Idhar Udhar
Dekhaa..”Kuch Nahii Haiii Subah Ho Chuki Haiiii Yahan Ghutan Ho Rahi Haiii
Humhein Nikal Jaana Chahiye Lekin Oosse Pehlee…Humhe In Shaitano Ko Jadh Se
Mitaana Hoga”…..Itna Kehte Huye Azaan Sir Ne Mujhe Uthaaya…Hum Oos Andhere Ki
Or Badheyyy…Sach Mein Ye Toh Saalakhen Thi…Band Pari Kaid Khaana…Jahan Mughal
Ke Sultanate Log In Kaidiyo Ko Maut Ke Munh Mein Chodh Dete Theyyy..Bhooke
Pyaase “Asal Meinn Ye Kaidiyo Ki Aatmaye Thii Jinhone Ne Berehemi Se Yanan Dum
Todhaaa…Aur Ise Tehkhaana Hi Banayaa Gayaa Khufiya Tehkhaana Log Khazaane Ki
Lalach Mein Aakar Yahan Apni Jaan Gavaa Dete…Yahann Oonhein Sirf Bhookhe Khoon
Ke Pyaase Shaitano Se Apni Jaan Khoni Padhti Khairrr Ye Dekhoo”…….Azaan Ne
Haddiyo Ki Taraf Dekhte Huye Kahaa…Mera Toh Waise Hi Buraa Haal Tha..Haddiyo Ko
Dekhkar Zanjeer Mein Kaid Samajh Gaye Ki Wohiii Roohein Thi Jinhone Humpar
Hamla Kiyaa…”Shekhar Yahan Network Nahi Milega Fauran Inspector Syed Ko Call
Karo”…..Itna Kehte Huye Maine Azaan Sir Ki Baton Ka Paalan Kiyaa
Jald Hi Inspector Syed Apni Puri Police Team Ke Sath Aaya…Tehkhaane
Ke Raaz Khulaa..Behad Haddiyaa Aur Kankaal Mile…Laashein Mili Gayiii…Media Ko
Iski Khabar Nahi Di Gayiii…Koi In Baton Par Yakeen Nahi Kar Paraa Tha…Lekin
Hamare Chot Aur Nishaan Ko Dekhkar Oonhein Yakeen Karna Para…Fauran Azaan Ke
Kehane Ke Mutaabiq Oon Sabhi Ahddiyo Aur Kankaalo Ko Ek Sath Jalaa Diyaa
Gayaa…Azaan Ne Inspector Syed Se Kehalwar Oos Tehkhane Ko Bhi Hamesha Ke Liye
Dafan Karwaa Diyaa…Wohh Gufaa Bhi Bare Bare Bare Pattharo Se Band Kar Di
Gayiii….Sabne Chain Ki Saans Li…Khaaskar Maineee…Hum Waapis Purane Qile Se
Shehr Aaye…Purana Qila Ek Baar Fhir Khaamosh Aur Veeran Waadiyo Mein Kaid
Tha..Lekin Ab Wahan Sirf Khaamoshi Thi Koi Shaitani Taqat Nahii…
“Hahahhaa Sacch Mein Manna Paregaa Aapko..Lekin Kaafi Jokhim Baraa
Kaam Kiya Agar Kuch Ho Jaata Toh”……..Inspector Syed Ne Chaai Ki Chuski Li..Hum
Teeno Table Par Baithey Huye They
“Baat Toh Aapki Sahii Hai…Lekin Filhalll Mujhe Is Baat Ki Khushi
Haii Ki Wohhh Raaz Ab Raaz Hi Rahegaa….Darasall Jahan Khoon Hinsa Ho Wahan
Shaitan Paanpata Hi Haii…Khairr Yahan Se Toh Mera Kaam Khatamm..Aur Aapka
Permission Guranted”…..Itna Kehkar Azaan Hassne Lagaa…Ooske Sath Main Aur
Inspector Syed Bhi
“Hmmm Aap Dono Ke Bina Ye Kaam Anhi Ho Paata”…..Inspector Syed Ne
Muskurakar Kaha
“Hmmm Ye Saara Credit Shekhar Ko Jata Hai Agar Ooska Pair Fisla Nahi
Hota..Toh Oos Tehkhaane Ka Raaz Kabhi Pata Nahi Chalta..”….Main Muskurakar
Azaan Sir Ki Or Dekhne Laga Oonki Baton Ne Mujhe Khushi Di Thi
Kuch Dair Baat Karne Ke Baad…Inspector Syed Ke Jaate Hi…Azaan Ne
Mujhse Baatein Karni Shuruu Ki…”Chaloo Ye Case Bhi Khatam Ho Gaya..Waisee Tum
Darr Gaye They Naa Hahaa”……Azaan Sir Ab Bhi Hass Rahe They..”Baap Ree Naa Jaane
Kya Kya Dekhne Ko Milega..Ek Pal Ke Liye Toh Mautt Nazdeek Thiii Aisa
Chehraa”…….Azaan Ne Glass Mein Kuch Dalkar Mujhe Diyaa…Maine Sawaal Bhari
Nighaahon Se Dekhaa…”Pee Lo Darr Kam Ho Jaayegaa…Ye Aave Jam Jam Haiii”…Itna
Kehkar Muskurakar Azaan Apne Namaz Ke Liye Chale Gayeee
Main Azaan Sir Ko Dekhta Reh Gaya…Kaise Insaan Haii? Ye Jinhein Maut
Ka Koi Darr Nahiii…Lekin Aaj Azan Sir Na Hote Tohh Main Bhi Zinda Na Hota…Aur
Ye Case Bhiii Khatma Cho Chukaa Tha….Shaitani Roohein Bhi Ab Shaant Ho Chuki
Thi…Aur Oos Din Ke Baad Koi Aur Haadsa Oos Jagah Par Nahi Huaa…Purana Qile Ka
Raaz Raaz Hi Reh Gayaa…
The End…
Comments