“Dil Mein Ab Dard-E-Mohabbat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi,
Zindagi
Meri Ab Teri Chahat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi........."
Dulhan Ke Jode Mein Saji
Vo Bala Ki Khoobsurat Lag Rahi Hai. Aur Sach Kahun Toh Mera Ye Kehna Hi Jaise
Ek Gunah Jaisa Hai, Uske Saath Meri Na-Insafi Hai. Kehna Toh Ye Chahiye Ke Uske
Tann Par Saj Kar Vo Dulhan Ka Joda Bahut Khoobsurat Lag Raha Hai. Ek Mamuli
Laal Rang Ka Kapda Aaj Uska Perhan Bankar Besh-Keemti Ho Gaya Hai.
Ab Toh Jaise Yaad Bhi Ke
Main Kabse Use Chahta Hoon, Kabse Use Paane Ki Tamanna Dil Mein Liye Hue Hoon.
Jahan Tak Yaad Ki Had
Jaati Hai, Vahan Tak Bas Ek Uski Hi Soorat Nazar Aati Hai. Zindagi Shuru Uske
Daman Se Hoti Hai Is Khwahish Ke Saath Ke Aakhri Hichki Bhi Uske Baahon Mein
Aaye Aur Kafan Bhi Uska Daman Bane.
"Tum Hamesha Mere Saath Kyun
Khelte Ho?"
Bachpan Mein Jab Vo
Masoomiyat Se Ye Sawal Kiya Karti Thi Toh Mujhse Jawab Dete Nahi Banta Tha.
Sach Toh Ye Tha Ke Uske Sawal Ka Jawab Mere Paas Tha Hi Nahi. Us Chhote Se
Masoom Ladke Ko Khud Hi Ye Kahan Pata Tha Ke Vo Kyun Har Pal Us Masoom Chehre
Ko Takta Rehta Hai.
Kyun Be-Ikhteyaar Us
Masoom Si Gudiya Ke Paas Chala Aata Hai Aur Kyun Uske Gudde Gudiya Ke Khelmein
Shaamil Rehta Hai.
"Tu Ladki Ho Gaya Hai, Gudiya
Se Khelta Hai. Ham Tere Saath Nahi Khelenge"
Doston Ke Mazak Banane Ka
Silsila Bachpan Mein Hi Shuru Ho Gaya Tha. Aur Vo Silsila Jo Shuru Hua Toh Phir
Kabhi Khatam Hua Hi Nahi, Chalta Hi Raha Aur Uske Saath Chalta Raha Meri
Deewangi Ka Silsila. Bachpan Jawani Mein Tabdeel Hua Toh Ye Samajh To Aa Gaya
Ke Main Kyun Har Pal Uske Saath Ki Khwahish, Uski Nazdeeki Ki Talab Rakhta Hoon
Par Dil Se Vo Kasak Kabhi Gayi Nahi.
Uski Chahat Rag Rag Mein Lahoo
Bankar Daudti Rahi Aur Uski Shakal Ek Tasveer
Bankar Mere Kamre Ki
Deewar Ke Saath Meri Nazron Se Hoti Meri Rooh Mein Ja Basi.
"Jab Ham Bade Honge To Main
Tumse Shaadi Kar Loonga Phir Ham Hamesha Saath Mein Gudiya Se Khela
Karenge"
** Saal Ki Umar Mein Mere
Lab Se Nikle Vo Alfaaz Kab Ek Khwaab Bankar Aankhon Mein Ja Base Jaise Khabar
Hi Nahi Hui. Gudde Gudiya Ka Khel Toh Khatam Ho Gaya Par Us Waqt Kahe Gaye
Chand Alfaaz Ek Wada Bankar Ham Dono Ko Jod Gaye, Hamare Dilon Ko Jod Gaye,
Dhadkan Ko Jod Gaye.
“Main
Teri Barah-Gah-E-Naaz Mein Kya Pesh Karun,
Meri
Jholi Mein Mohabbat Ke Siwaa Kuchh Bhi Nahin ......”
"Kya Kar Sakte Ho Mere
Liye?"
Usne Masoomiyat Se Ek
Baar Jo Sawal Kiya Toh Lafz Jaise Kam Pad Gaye Ye Batane Ke Liye Ke Main Uske
Liye Kya Kuchh Karna Chahta Hoon. Samajh Hi Nahi Aaya Ke Kahan Se Shuru Karun
Aur Kahan Khatam. Kaise Un Cheezon Ki Fehrist Banaoon Jo Main Uske Supurd Karna
Chahta Hoon.
Kabhi Haath Uth Gaye
Falak Ki Taraf Ye Ishara Karte Hue Ke Vo Kahe Toh Aaftab Ki Roshni Uske
Gaalonmein Bhar Doon, Mehtaab Ki Chandni Uske Aanchal Mein Samet Laoon, Siyaah
Raat Ki Siyahi Uski Aankhon Ke Dore Bana Doon Aur Laal Sehar Ki Laali Uske
Labon Par Saja Doon. Toh Kabhi Yun Khwahish Hui Ke Seena Cheer Kar Dil Uske
Hawale Kar Doon.
Kabhi Chaha Ke Uske
Pairon Tale Har Phool Saja Doon Toh Kabhi Khud Phool Banar Uski Kadam-Bosi Kar
Loon.
“Teri
Mehfil Se Jo Uthoon Toh Bata Phir Kahan Jaoon,
Mera
Kaam Teri Ibadat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin ......”
Bas Adde Ke Paas Kallu Ki
Chaai Ki Dukaan Aaj Bhi Vahin Hain. Vo 2 Kursiyan Aur Ek Mez Usi Saleeke Se
Rakhi Hui Hai Jis Saleeke Se Vo Kabhi Hamare Intezaar Mein Hoti Thi.
"Pareshaan Karne Ko Bulaya Hai
Mujhe Yahan? Chhed Rahe Ho, Bhaag Jao ....."
Ada Se Ithlake Vo Uska
Mujhse Vo Shikayat Karna Aur Us Gile Shikve Mein Chhupi Vo Masoomiyat Baar Baar
Mujhe Is Baat Ke Liye Majboor Karti Ke Main Aage Badhkar Uska Matha Choom Loon,
Uske Haath Thaam Loon Aur Phir Bayan Karun, Bataoon Use, Ke Main Kis Qadar Use
Ishq Mein Fana Hoon. Bataoon Ke Main Kyunkar Be- Ikhtiyaar Sa Uski Ek Jhalak
Paane Ko Dil Thaame Uski Raah Mein Mutazir Rehta Hoon.
Samjhaoon Use Ke Uske
Vajood Se Mera Vajood Qayam Hai Aur Jo Vo Nahi Toh Meri Shakhsiyat Ka Koi
Matlab Nahi. Ke Meri Har Sehar Uske Tazkire Se Shuru Hoti Hai Aur Shaam Tak Ka
Mera Safar Uski Aawaz Sunne Ki Beqarari Mein Guzarta Hai.
“Aey
Khuda Mujhse Na Le Mere Gunahon Ka Hisaab,
Mere
Paas Ashq-E-Nadamat Ke Sivaa Kuchh Bhi Nahi ....”
Har Taraf Rang Birange
Kapde Pehne, Saje Dhaje Log Khushiyan Mana Rahe The. Kuchh Uske Apne The Aur
Kuchh Yun Hi Bulaave Par Uski Khushi Mein Shaamil Hone Aa Gaye The.
Aaj Uski Shaadi Thi Aur
Dulhan Bani Kisi Gudiya Ki Tarah Saji Hui Vo Majlis Ke Theek Beech Mein Bethi
Thi. Log Aa Rahe The Aur Uske Saamne Apna Laya Tohfa Rakh Kar Uski Us Mubarak
Din Ki Mubarakbaad De Rahe The Aur Uski Aane Wali Zindagi Ke Liye Dua.
Aaj Usko Dekh Kar Ye
Ehsaas Hua Ke Laal Rang Uspar Bahut Fabta Tha. Jaane Kaise Itne Lambe Arsemein
Is Baat Se Main Poori Tarah Gaafil Raha. Kya Is Liye Ke Usne Kabhi Mere Saath
Mere Saamne Laalrang Pehna Nahi Ya Isliye Ke Mujhe Har Rang Mein Vo Is Qadar
Haseen Lagti Thi Ke Har Rang Ki Rangatmeri Nazar Se Poshida Rahi, Be-Asar Rahi.
Aur Phir Ehsaas Hua Ke
Laal Rang Uspar Kitna Fab Raha Hai. Kya Isliye Ke Is Laal Rang Mein Kuchh
Khwabon Ka Khoon Shaamil Hai, Ke Ye Laal Rang Kuchh Bekaar Ummeedon Ki Ashqon
Mein Bheega Hua Hai, Ke Ye Laal Rang Apne Aap Mein Kuchh Wadon Ka Ka Janaza
Samete Hue Hai.
Haath Mein Phoolon Ka Ek
Guldasta Liye Main Khamoshi Se Uski Taraf Badha. Meri Shakhsiyat Se Vahan Har
Koi Anjaan Tha. Us Logon Ke Hujoom Mein Jaisa Mera Hona Ya Na Hona Ek Barabar
Hi Tha.
"Tu Chahe Bhi Toh Kya De Sakta
Hai Usko Yaar. Kya Hai Kya Tere Paas"
Mere Ek Dost Ne Ek Baar
Mujhe Samjhane Ki Koshish Ki Thi. Aur Naseeb Ka Khel Dekhiye, Aaj Uski Zindagi
Ke Sabse Bade Din Bhi Mere Paas Use Dene Ko Kuchh Bhi Nahi. Aaj Main Uski
Khushi Meinshareek Hone Ko Aaya Bhi Toh Haath Mein Kuchh Subah Ke Murjhaye
Phool Liye.
“Khuda
Se Kahun, Tujhse Kahun Ya Khud Hi Dil Ko Samjha Loon,
Lab
Pe Mere Ab Ek Shikayat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi ......”
Kamal Ki Baat Hai. Jab
Bhi Main Uske Kareeb Hota Tha Toh Dil Ki Dhadkan Jaane Kyun Apne Aap Badh Jaati
Thi. Uske Chehre Ki Ek Jhalak, Uski Saans Ki Garmi, Uske Jism Ki Khushbu Aur
Uske Haathon Ki Narmi, Kuch Aisi Kashish, Kuchh Aisi Taaseer Thi Uski Ke Dil
Bekaabu Hokar Deewanagar Sa Dhadakne Lagta Tha.
Aaj Phir Vaisa Hi Kuchh
Aalam Hai. Ab Is Nadan Dil Ko Kaise Samjhaoon Ke Aaj Vo Meri Nahi, Ke Aaj Vo
Kisi Aur Ki Aur Ho Rahi Hai. Kaise Is Deewane Se Kahun Ke Aaj Yun Phir Tezi Se
Dhadak Kar Kuchh Haasil Nahi Hoga. Ke Aaj Toh Ise Dhadkan Se Kinara Kar Lena
Chahiye Aur Mujhse Is Bekaar Zindagi Se Nijaat Dila Deni Hahiye.
Haath Mein Guldasta Lekar
Main Uske Kareeb Aaya Aur Use Dene Ke Liye Aage Ko Jhuka. Nazar Utha Kar Usne
Shukriya Kehne Ke Liye Meri Taraf Dekha Toh Khabar Hui Ke Door Se Nazar Aati
Uski Vo Khoobsurati Toh Mehaz Ek Bharam Thi. Us Shaam Pehli Baar Mujh Par Uski
Aankhon Ki Veerani, Uske Chehre Ki Vehshat Zaahir Hui.
Khabar Hui Ke Vo Toh Aaj
Phir Vahi Gudde Gudiya Ka Khel Khel Rahi Hai Bas Aaj Gudiya Ki Jagah Usne Khud
Ko Betha Liya. Jism Hai, Rangat Hai, Perhan Hai, Zevar Hai Par Kisi Gudiya Ki
Tarah Hi Ye Sab Hone Ke Baad Bhi Kuchh Nahi Hai Kyunki Jism Mein Jaan Nahi Hai.
Haan, Uski Aankhon Ne
Mujh Par Zaahir Kiya Ke Vo Toh Bas Ek Murda Laash Ki Tarah Vahan Bethi Nakli
Hasi Has Rahi Thi, Muskura Rahi Thi.
“Main
Aaj Phir Khada Hoon Tere Huzoor Mein Tera Mureed Hokar,
Mere
Aankhon Mein Is Haqeeat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi ......”
Lakh Mere Chehre Par
Naqab Sahi, Nakli Daadi Moonchh Sahi. Lakh Maine Koshish Ki Thi Bhes Badalne Ki
Taaki Uski Shaadi Mein Mujhe Koi Pehchan Na Sake Par Uski Nazar Dhokha Kaise
Kha Sakti Thi. Uski Nazar Meri Nazar Se Mili Aur Ek Pal Mein Ye Pegham Mujh Tak
Pahunch Gaya Ke Usne Mujhe Pehchan Liya Hai.
Aaj Phir Mujhe Saamne
Dekh Kar Vo Muskurayi Aur Mujhe Laga Jaise Mera Sab Kuchh Lut Gaya Ho. Kahan
Gayi Vo Muskurahat, Vo Hasi Jise Pakar Main Kabhi Ithlata Phirta Tha. Kahan
Gayi Vo Hasi Jo Kabhi Mujhe Poora Karti Thi. Kahan Gayi Vo Hasi Jise Pakar Main
Sab Kuchh Pa Leta Tha. Vo Hasi Jiske Baad Mujhe Kisi Aur Cheez Ki Zaroorat Hi
Nahi Padti Thi.
“Apne
Honthon Par Aap Is Pakeeza Hasi Ko Yun Hi Sajaye Rakhna,
Meri
Daulat Is Muskurahat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi ......”
Aur Phir Mere Haath Mein
Thame Phool Chhut Kar Uski Jholi Mein Ja Gire Aur Numaya Hui Un Phoolon Ke
Pichhe Chhupi Revolver. Vo Revolver Jis Mein Sirf 2 Hi Goliyan Maujood Thi. Vo
Revolver Jise Main Phoolon Ki Aad Mein Ab Tak Apne Aath Mein Thaame Hue Tha.
Ham Dono Par Ab Bhi Kisi
Ki Nazar Nahi Hai. Sab Apne Aap Mein Magan Hain Aur Ham Dono Jaise Un Sabse
Bekhabar, Duniya Se Paraye Hokar Ek Doosre Ki Nazar Mein Nazar Daale Ek Doosre
Ko Dekh Rahe Hain. Vo Kabhi Meri Taraf Toh Kabhi Mere Haath Mein Thami Revolver
Ki Taraf Dekh Rahi Hai. Aur Haan Vo Ab Muskura Rahi Hai.
Phir Vahi Muskurahat Jo
Main Dekhna Chahta Tha. Uski Hasi Ab Phir Laut Aayi Hai.
Usne Muskura Kar Apni
Aankhen Moond Li Jaise Aaj Phir Ek Baar Apne Aapko Mere Supurd Kar Rahi Ho.
Maine Apne Haath Mein Thami Revolver Par Ek Nazar Daali Aur Phir Ek Nazar Usko
Dekha.
Uske Munh Se Kuchh Safed
Cheez Si Nikal Rahi Hai, Ek Safed Jhaag. Uski Rangat Jo Ab Tak Peeli Thi, Ab
Safed Hoti Ja Rahi Hai.
Aur Phir Neeche Bethi
Bethi Vo Ek Taraf Nidhal Hokar Gir Padi.
“Vo
To Aaj Mar Kar Hamein Mil Hi Gayi Raahat Varana,
Zindagi
Ranj-O-Museebat Ke Sivaa Kuchh Bhi Nahin.......”
Sab Log Ab Uske Chaaron
Taraf Khade Hue Hain. Khushi Ka Aalam Ab Cheekh Pukaar Mein Tabdeel Ho Gaya
Hai.
Kisi Ka Dhyaan Ab Bhi
Meri Taraf Nahi Hai Aur Na Hi Meri Nazar Un Par. Main Toh Apne Haath Mein
Thaami Us Revolver Ko Dekh Raha Hoon Jiska Rukh Meri Taraf Hai. Jis Mein Ab Bhi
2 Goliyaan Maujood Hain Par Zaroorat Ab Sirf Ek Ki Hai.
“Dil
Mein Ab Dard-E-Mohabbat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi,
Zindagi
Meri Ab Teri Chahat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi.........”
Thanks A Lot For Reading
Everyone…..
Comments