Ajeeb
Makhlook He Yaaro Jise Log Insaan Kehte He...
Aaj
Fir Ham Apne Dil Ka Ek Saccha Bayan Kehte He...
Na
Hi Fark Ek Tinke Ka Bhi Na Hi Khoon Ka Rang Kuch Aur He..
Bas
Fark Ye Ki Kisi Ko Log Hindu To Kisi Ko Musalmaan Kehte He..
Zaati
Paati Ke Naam Par Insaan Ne Bech Diya Is Jahan Ko...
Kuch
Ise Krupa To Kuch Ise Khuda Ka Farmaan Kehte He...
Ham
To Soch Samajkar Bhi Kuch Samaj Nahi Paate Yaaro...
Kuch
Aesi Baate Ye Nadaan Parinde Bezubaan Kehte He...
Koi
Puje Patthar Ko Koi Sajdo Me Apna Sir Zukate He...
Ye
Ek Hi He Bas Kuch Ise Pooja To Kuch Ise Apna Imaan Kehte He..
Ek
Hi Riwaaz , Ek Hi Rasm , Bas Kuch Andaaz Badal Jate He..
Warna
Ek Hi He Jise Kuch Upwaas To Kuch Ramzaan Kehte He..
Ek
Hi He Sabki Manzil Bas Lafzo Ke Tarane Badal Jate He Dosto..
Wo
Ek Hi Mukaam He Jise Kuch Swarg To Kuch Jannat Ka Darbaar
Kehte
He..
Kuch
Jate He Mandiro Me , Kuch Masjido Ki Raah Apnaate He...
Par
Maqsad To Sabka Ek He, Jise Log Khusi Ki Fariyaad Kehte He...
Wo
Ek Hi Hasti , Ek Hi Wajood He Jisne Ye Saara Jahan Banaya...
Fark
Itna Ki Kuch Use "Khuda" To Kuch Use "Bhagwaan" Kehte
He......
Comments