“Main Naa Kehtaa Thaa
Ki Laal Rang Bahut Khiltaa Hai Tumpe,, Main Naa Kehtaa Thaa Ki Bahut Khoob
Lagogi Tum Dulhan Banke... Dekho Khud Ko Aaine Me, Kitni Khoobsurat Lag Rahi Ho
Tum,, Tumhaare Maathe Kaa Sinduur, Kitnaa Khil Rahaa Hai Dekho To.........”
Barso Se Khwaaish Thi Ki Tumhe Laal Jodaa Pehnaaun
Main...
Maang Me Bharun Sinduur, Aur Apni Dulhan Banaaun
Main...
Loon Saat Fere Tumhaare Sangh, Apne Ghar Tumhe Laaun
Main...
Ho Maathe Pe Laal Bindiya, Tumhe Hantho Me Kangan
Pehnaaun Main...
Bilkul Waisi Lag Rahi Ho Jaisa Main Dekhnaa Chaahtaa
Thaa...
Par Afsos, Itnaa Duur Hoon Tumse, Ab Kaise Paas Aaun
Main...
Jodaa Laal Hai, Waisa Hi Shringaar Kiyaa Hai Tumne
Aaj...
Magar Tum Meri Nahi Ho, Ye Sach Khud Ko Aaj Kaise
Samjhaaun Main...
Maang Tumhaari Bhari Hui Hai, Magar Sindoor Mere Naam
Kaa Nahi Hai...
Kisi Aur Kaa Hote Huye Dekh Tumhe Bhalaa Kaise Reh
Paaun Main...
Bahut Himmat Hai Jo Dekh Rahaa Hoon Apna Sansaar
Lut_Te Huye...
Magar Tumhi Kaho, Ise Lutne Se Aaj Bhalaa Kaise
Bachaaun Main...
Tumne Aakhri Mulaaquaat Me Khush Rehne Kaa Waadaa
Liyaa Thaa Mujhse...
Tum Hi Kaho, Tumhe Kho Ke Hothon Pe Muskaan Kahaan Se
Laaun Main...
Honge Log Bahut Jo Dil Pe Paththar Rakh Ke Khush Reh
Lete Hain...
Jisse Judi Hain Saanse, Us Se Duur Jaa Ke Bhalaa Kaise
Ji Paaun Main...
Doli Uthegi Tumhaari Bas Kuch Hi Der Me Yahaan Se Yeh
Maaloom Hai...
Aankhon Ke Saamne Tum Duur Jaao Usse Pehle Kyun Na Mar
Jaaun Main.........
Comments