Labon Par
Uske Kabhi Baddua Nahi Hoti...
Bas Ek
Maa Hai Jo Kabhi Khafa Nahi Hoti...
Is Tarah
Mere Gunaahon Ko Wo Dho Deti Hai...
Maa
Bahut Gusse Mein Hoti Hai To Ro Deti Hai...
Maine Rote
Hue Ponchhe The Kisi Din Aansoo...
Muddaton
Maa Ne Nahi Dhoya Dupatta Apna...
Abhi Zinda
Hai Maa Meri Mujhe Kuchh Bhi Nahi Hoga...
Main
Jab Ghar Se Nikalta Hoon Dua Bhi Saath Chalti Hai...
Jab Bhi
Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jaati Hai...
Maa Dua
Karti Hui Khwaab Mein Aa Jaati Hai...
Aye
Andhere Dekh Le Munh Tera Kaala Ho Gaya...
Maa Ne
Aankhein Khol Di Ghar Mein Ujaala Ho Gaya...
Meri
Khwaahish Hai Ki Main Phir Se Farishta Ho Jaun...
Maa Se
Is Tarah Liptun Ki Bachcha Ho Jaun...
Dosto'n
Maa Ke Aage Yun Kabhi Khulkar Nahi Rona...
Jahan
Buniyaad Ho Itni Nami Achhhi Nahi Hoti........
kal shab Maine mohabbat ki sari kitabein fad di,,, bs ek kagaz pe likha lafze maa rahne dia...
ReplyDeleteWah...
ReplyDelete