Kehte
He Har Baat Ke Piche Koi Raaz Rehta He...
Yuhi
Nahi Suraj Raat Me Chand Ko Aasman Deta He...
Aaj Jab
Dekha Mene Aasman Ko Gor Se Yaaro...
To Har
Sitaara Safar Par Bas Ek Sitara Wahi Rehta He...
Pucha
Mene Aye Aasma Bata Us Sitaare Kya Raaz He...
To
Aasman Muje Us Sitaare Ki Kuch Ye Daastan Kehta He...
Bat Us
Waqt Ki He Jab Rab Ye Pyari Si Dunia Tayyar Karta He...
Zamee
Pe Insaa Ko Aur Aasma Pe Sitaaro Ka Ikhtiyaar Karta He...
Kehte
He Mahobbat Karna Dastur Sirf Insaano Ka Hi Nahi...
Us
Aasma Par Bhi Ek Sitaara Ek Sitaare Se Bahut Pyar Karta He...
Din
Hote Hi Band Kar Aankho Ko Wo Khwabo Me So Jate He...
Aur
Raat Me Sitaara Apne Mehbub Se Mahobbar Ka Izhaar Karta He...
Par
Kehte He Na Bina Dard Ke Koi Mahobbat Kabhi Banti Nahi...
Ek Din
Kaatib - E - Taqdeer Is Mahobbat Se Saaf Inkaar Karta He...
Ek Din
Tut Kar Mehbub Us Sitaare Ka Zamee Pe Jaa Gira...
Us Din
Wo Sitaara Apne Khuda Se Sikayat Besumaar Karta He...
Kehta
He Uska Rab Intejaar Kar Tab Tak Jab Tak Tujme Jaan He...
Wo Laut
Ke Fir Aa Jayega Gar Tu Use Saccha Pyar Karta He...
Us Din
Se Wo Sitaara Nazre Bichaye He Apni Mehbub Ki Raho Me...
Aur Har
Roj Duaao Me Apne Mehbub Ke Liye Khud Ko Bekarar Karta He...
Itni
Shiddat Chupi He Uski Paak Mahobbat Me Aye Mere Yaaro...
Ki
Barso Hue...
Par Aaj
Bhi Usi Mukaam Par Wo Apne Mehbub Ka Intejaar Karta He......
Comments