Aaj Phir
Mujh Se Kaha Hay Ye Kisi Ne Janaam...
Meray Honton
Pe Faqat Gham K Taraanay Ku Hen.. ?
Ku Meray
Naghmon Men Mayoosian Hen Noha-Kanaan.. ??
Meray Geeton
Men Faqat, Teray Fasaanay Ku Hen.. ?
Yaad Hay
Mujh Ko K Tu Ne Bhi Kaha Tha Mujh Se...
Zindagi
Teri Mohabbat Ka He To Naam Nahi...
Meray Naghmay
Nishaat-Aamez Bhi Ho Saktay Hen...
Shaayari,
Loh-E-Mazaar-E-Gham-O-Aalaam Nahi...
Kya Karun?
Khud Ko Main Dhoka To Nahi De Sakta...
Meray Bus
Men Nahi Sar-Sar Ko Sabaa Keh Dena...
Main K
Shayar Hun So Ehsaas Ka Taab’e Bhi Hun...
Meri Fitrat
Nahi Zulmat Ko Zia Keh Dena....
Farz Kerta
Hun, Teray Gham Say Chura Ker Nazren...
Main Shab-E-Gham
Ko Shab-E-Wasl Ager Keh Bhi Dun...
Meray Kehnay
Say Kya Ye Sham’a Bharak Uthay Gi.. ?
Sham-E-Kushta
Ki Main Taqdeer Ko Kaisay Badlun.. ??
Meri Sochon
Men Faqat Tu Hay Faqat Tu Hay To Phir...
Main Teri
Yaad Say Katra K Nahi Jee Sakta...
Teri Furqat
Pe Main Kohraam Macha Sakta Hun...
Teri Yaadon
Kay Magar Sehray Nahi Keh Sakta...
Log Shayar
Na Kahen Mujh Ko, Hay Manzoor Mujhay...
Meray Geeton
Ko Sataaish Ki Zaroorat Hi Nahi...
Meray Naghmay,
Meri Hasti Rahen Bay-Naam-O-Namood...
In Ko
Tash’heer-O-Numaaish Ki Zaroorat Hi Nahi....
Meray Deevaan
Ki Har Nazm Rahay Tujh Pe Nisaar...
Meray Her
Geet Ki Pankti Ho Teri He Soorat...
Meray Ash’aar
Ka Her Lafz Ho Tera Chehra...
Meray Her
Lafz Ka Her Harf Ho Teri Moorat......
Comments