SHAYARI ON ZINDAGI
IN HINDI | TUM GHAR LOUT AANA
Jab Dhalti
Shaam Mein Dil Ghabaraye , Tum Ghar Lout Aana....
Jab Dil
Mein Koi Baichini Se Badh Jaye, Tum Ghar Lout Aana....
Palkein
Bichhaye Aaj Bhi Intzar Mein Rehti Hai Teri Maa....
Tujhe
Kabhi Bhule Se Maa Ki Yaad Aaye, Tum Ghar Lout Aana....
Bachpan
Guzara Tha Jis Aangan Mein Tumne Khel Khel Kar....
Jo Yaad
Kr Us Aangan Ko Ashk Beh Jaye, Tum Ghar Lout Aana....
Maa Aaj
Bhi Bana Kar Rakhti Hai Teri Pasand Ke Pakwan....
Bahar
Khane Se Jo Bhukh Na Mit Paye, Tum Ghar Lout Aana....
Rakhi
Ka Dhaga Le Bhai Ke Intzar Mein Gumsum Baithi Hai Behna....
Gar Yeh
Dhaga Apnepan Ka Ehsas Dilaye, Tum Ghar Lout Aana....
Kandhe
Bitha Jisne Dunia Dikhai Wo Aaj Bhi Teri Raah Takte Hain....
Jab
Dunia Ki Chakachoundh Se Dil Bhar Jaye, Tum Ghar Lout Aana....
Maa
Baba Ki Zuban Kuch Na Kahe Par Nam Aakhein Sab Kehti Hai....
In
Aansuon Ki Jab Tumhe Qadr Samjh Aaye , Tum Ghar Lout Aana......
Comments