Hindi shayari on berojgari for Boys - Hindi shayari on berojgari for Boys - hindi shayari on berojgari, berojgari in hindi pdf, berojgari in hindi wikipedia, berojgari essay in hindi, Poem on Reservation in hindi - indiA, Aarakshan shayari in hindi-
Jab
Janm Liya Maine Toh Sab Ne Jashn Manaya Tha....
Hua Thoda
Bada Toh School Me Dakhila Karwaya Tha....
Roz Subha
Maa Meri Tayaar Karte Hue Kehti Thi...
Tujhe Padd
Likh Kar Bahut Bada Insaan Banna Hai....
Apne
Maa Baba Ka Naam Roshan Karna Hai.....
Maa
Baba Ke Paav Choo Ke Main Pariksha Dene Jata Tha....
Wahan Harr
Sawaal Me Mujhe Chehra Unhi Dono Ka Nazar Ata Tha.....
Junoon Me
Kuch Kar Dikhane Ki Maine Harr Pariksha Me Safal Hua.....
Par Jab
Tha Main Nikla Naukri Ki Talaash Me Toh Mere Harr Armaan Ka Katl Hua......
Roz Subha
Ek Nayi Tarah Se Main Tayaar Hua Karta Tha....
Maa Ke
Haath Se Kha Ke Ek Chammach Dahi...
Unka
Ashirwaad Lia Karta Tha....
Phir Kadakti
Dhoop Me Darbadar Naukri Ki Talaash Me Bhatakna....
Phir Dekh
Ke Piple Ki Chaav Uske Neeche Maa Ki Haath Ki Roti Takna....
Woh Phir
Shaam Ko Mooh Latka Ke Wapas Ghar Ana....
Pita Ji
Ka Mujhse Poochna Aur Mera Neeche Chale Jana....
Kya Karun
Main Mujhe Kuch Samajh Nahi Ata....
Jab Nahi
Bhavishaya Koi Toh Harr Koi Apna Baccha Kyu Padata.....
Samajh Aya
Ab Mujhe Jiski Hai Sifarish Wahi Kamyaaab Hai....
Binn
Sifarish Ke Toh Jindagi Hee Bekaar Hai.........
Comments