"Jo Bache Bachpan MeN Aapke Kapde Gile karte The...
Jab Aapka Budhaapa Aaye To Aapke Aankhen Gili Na kare...."
Kaheen Yeh Bhi Dekhte Rehna,, Apne Aap Ko Itna Mat Loota Dena,, Ke Budhaape Mein Aap Khud Ko Loota-Piita Sa Mehsuus Karo,,
Bacho Ko Car Naa De Sako To, Naa Do...
lekin Bacho Ko Apne Sanskaar Zaroor De Dena........
Maa-Baap Kehne Ko To Do Lafz Hai Magar Apni Zindagi Ka Har Dum, Har Pal Sab Inki Badaulat Hai, Aaj Agar Yeh Naa Hote To Hum sab ka Koi Astitva Hi Naa Hota Iss Sansaar mein..Maa-Baap To Apne Bachon ko Umar Bhar Apni Aankhon Ka Taara Kehte Rehte Hai, Kaash Woh Din Aaye Jab Bache Bhi Aapne Maa-Baap Ko Apni Aankhon Ka Taara kahe...Issi Umeed Aur Ardaas Se Yeh Post Kr Raha Hoon....
Bachon Ke
Liye, Aankhon Ke Taare Hai Maa-Baap...
Iss Be-Matlabi
Duniya Men Sahaare Hai Maa-Baap...
Hum Woh
Kashti Hai Jo Samundar Men Sawaar Hai...
Har
Kashti Ke Liye Jaise Kinaare Hai Maa-Baap...
Dil Ki
Daulat Se Badi Koi Daulat Nahi Duniya Men...
Kaale
Aasman Men Chamakte Sitaare Hai Maa-Baap...
Gar
Inki Kadar Naa Kar Sake To Rabb Ki Ibadat Kya Karenge...
Dil Ki
Nazron Se Dekh, Kitne Pyaare Hai Maa-Baap...
Teri Har
Khwahish, Teri Har Tamanna Poori Ki Hai...
Kabhi
Puch, Kitna Apne Dil Ko Maare Hai Maa-Baap...
Teri
Padhai Ke Liye Lakhon Ka Karza Liya Hai...
Teri
Jeet Ke Liye, Apna Sab Kuch Haare Hai Maa-Baap...
Tujhe
God Men Khilaya, Padh- Likh Kar Insaan Banaya...
Gar
Inki Ehmiyat Na Samjhe, To Bechaare Hai Maa-Baap.....
Comments