Mera
Yeh Introduction, Bas Ek Dil Ki Zubani Hai.. Aur Yeh Kalam, Kuch Khwaishon Aur
Ek Sachayi Ko Jorr Kar, Likhi Gayi Hai..
Kuch
Apni Hi Purani Nazmein Parr Raha Tha Toh Unn Lamhon Main Chala Gya Jinn Main
Woh Likhi Thi...
Meri Ek
Nazm Main Ek Line Thi "Ab Mohobat Par Mohobat Se Likha Nahin
Jata"..Meri Zindgi Me Ek Shaks Aya Tha K Mujhe Lagta Tha Usne Iss Line
Ko Badalne Ki Wajah Di Thi..
Meri
Yeh Nazm Uss Shaks Kay Naam Hai Jisne Mujhe Dobara Dil Se Jeena Aur
Muskurana Seekhaya Tha.. Bas Ussi Ek
Shaks Kay Liye Hai..
Ager
Apne Kisi Se Kabhi Bhi Mohobat Ki Hai, Toh Usse Zaroor Batana Woh Kitna Khaas
Hai.. Kya Pata, Woh Yeh Sun'ne Kay Liye Kitna Bekarar Ho Aur Issi Bekarari Kay
Saath Kahin Dhoor Chala Jaye.. Woh Jane Se Pehle, Zaroor Usse Pata Hona
Chahiye, Woh Kitna Khaas Hai..
Meri
Nazmein, Mera Woh Sahara Hai Jo Koi Shaks De Na Saka Mujhe!
"Ab Toh Dard Pane Ki Itni Aadat Hogayi Faraz,
Jab Dard Nahin Milta Toh Dard Hota Hai........"
Jisse Chaha Maine Woh Raah-E-Zindagi Main Bahaut Dhoor Tha...
Chorr Gaya Mujhe Tanha Magar Janta Hoon Woh Majboor Tha...
Kehta Tha Mujse Roshan Karta Meri Zindagi Ka Sitara Ho Tum...
Uske Baad Iss Sitare Ki Gehrayion Main Andhera Dhoor Dhoor Tak
Tha...
Woh Zamane Ka Ho Chala Mager Mera Na Ho Saka Kabhi...
Pata Nahin Mujhe Kyun Usse Paane Ka Ghuroor Tha...
Ek Chamak, Ek Roshini Si Thi Zindagi Main; Bas Khush Tha Dil...
Uske Jaane Kay Baad Pata Chala, Main Ander Se Kitna Be-Noor
Tha....
‘Main Tumse Mohobat Nahin Karti’, Keh Kar Chala Gaya Woh
Shaks...
Kabhi Mulaqat Ho Us’se Tumhari Toh Bas Zikr Karna Mera......
Uski Ankhon Se Pata Chalega, Uske Dil Main Mere Liye Kuch Zaroor
Tha.....
Comments