Tumhaari Yaad Mein Jo Kuch Bhi Socha, Likh Diya...
Ab Tumhaari Yaad Liye, Puraane Khat Wo Pardhta Hoon...
Jinhe Apne Takiye Mein Chupaaye, Sambhaale Rakha Tha...
Ab Saare Lafz Yaad Hogaye, Aksar Pardhte Pardte...
Chalo Achcha Hai Ke Tumhaari Yaadein To Saath Hain...
Warna Mushkil Tha,
Tumhaare Aks Ko Mehsoos Karna Is Berang Duniya Mein...
Tumhaara Khat, Roshan Kar Deta Hai Kamra Mera...
Tanhaai Se Aahatein Aati Hain Guzre Dino Ki...
Jab Bhi Yaad Aati Hai Tumhaari,
Main Akela Baithkar Khoob Rota Hoon...
Jo Hua Wo Nahi Hota To Achcha Tha, Ye Sochta Rehta Hoon...
Kya Tum Bhi Aisa Karti Ho, Mere Puraane Khat Pardhti Ho...
Kaheen Zamaane Ke Dabav Mein Aakar, Unhe Jalaa To Na Diya
Tumne...
Itni Lambi Judaai Mein "Meri Jaan" Mujhe Kaheen
Bhula To Na Diya Tumne...
Hasti Hain Wo Mehflein, Jahaan Hum Geet Sunaate The
Gungunaate The...
Rote Hain Wo Raaste "Jaana" Jahaan Hum Aate Jaate
The...
Jaane Kahaan Doob Gaya Wo Suraj, Jo Hamaari Zameen Par Roz
Aata Tha...
Jaane Kahaan Chaand Bhi Kho Gaya, Jo Har Raat Hume Sulaata
Tha...
Mujhe Khabar Hai, Tumhaara Haal Bhi Ujrdi Haweli Ki Tarah
Hai...
Main Bhi Ek Lute Shehar Ki Tarah Hoon, Jahaan Ab Sannaata
Hai...
Na Koi Aata Hai Na Jaata Hai...
Jab Bhi Yaad Kiya Tumhe, Bohat Roya Main, Charaagon Ko
Bujhaakar...
Ke In Ashqon Ki Koi Zabaani Na Pardhe, Hamaari Adhoori
Kahaani Na Pardhe...
Jo Hua, Uska Humne Kahaan Socha Tha...
Humne To Ekk Sunehra
Khwaab Dekha Tha...
Ab Har Kali Murjhaai Lagti Hai, Jo Tum Nahi Ho...
Har Khushi Bhi Paraai Lagti Hai, Jo Tum Nahi Ho...
Aajaao, Ke Lamba Hai Safar Zindagi Ka, Jo Katta Nahi...
Raat Din Hota, To Guzaar Lete...
Kisi Tarah Apna Ghar Sawaar Lete...
Comments